numaish
Interesting Fact
(Ottawa, 17th April, 1980)
raat meñ bhī gayā
ik numā.ish thī umda tasāvīr kī
shahr ke chīda chīda muazziz ḳhavātīn-o-hazrāt
chehroñ pe mauzūñ milāvaT
nafāsat kī
sanjīdgī kī
funūn-e-latīfa ke idrāk kī
apnī maujūdgī se yaqīñ dūsroñ ko dilāte hue
kitne bā-zauq haiñ
kaash ḳhud bhī yaqīñ kar sakeñ
raat achchhī numā.ish thī
maiñ bhī numā.ish meñ tasvīr thā
raat mein bhi gaya
ek numaish thi umda tasawir ki
shahr ke chida chida muazziz KHawatin-o-hazraat
chehron pe mauzun milawaT
nafasat ki
sanjidgi ki
funun-e-latifa ke idrak ki
apni maujudgi se yaqin dusron ko dilate hue
kitne ba-zauq hain
kash KHud bhi yaqin kar saken
raat achchhi numaish thi
main bhi numaish mein taswir tha
- Book : Naqsh Ber Aab (Pg. 13)
- Author : Abrarul Hasan
- Publication : Scheherzade
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.