numu
ḳhizāñ ke daur meñ phailī barahna shāḳhoñ ne
jaḌoñ kī tarah se rañg-e-shafaq ko chūsā thā
sunahrī dhuup kī tābāniyoñ ko jazb kiyā
safed barf kī narmī ko yuuñ samoyā thā
ki ab bahār ke aane pe vo gulābī shafaq
guloñ ke ruup meñ shāḳhoñ pe phuuT aa.ī hai
safed barf ne phūloñ kī pañkhuḌī kā badan
sunahrī dhuup ne piile guloñ ko Dhālā hai
bahār kā ye tasavvur javān rakhtā hai
ḳhizāñ-o-yās ke phailā.e yaḳh nazāroñ meñ
ḳhayāl-e-zīst ḳhushī kāmrāniyoñ ko mirī
KHizan ke daur mein phaili barahna shaKHon ne
jaDon ki tarah se rang-e-shafaq ko chusa tha
sunahri dhup ki tabaniyon ko jazb kiya
safed barf ki narmi ko yun samoya tha
ki ab bahaar ke aane pe wo gulabi shafaq
gulon ke rup mein shaKHon pe phuT aai hai
safed barf ne phulon ki pankhuDi ka badan
sunahri dhup ne pile gulon ko Dhaala hai
bahaar ka ye tasawwur jawan rakhta hai
KHizan-o-yas ke phailae yaKH nazaron mein
KHayal-e-zist KHushi kaamraniyon ko meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.