nuqrai tilism
raat tārīk thī ik kaale samundar kī tarah
ajnabī des thā tanhā.ī thī
jagmagāte hue bāzāroñ kī be-kaif fazā
aur bojhal sā kiye detī thī jism-o-jāñ ko
shahar kī had se pare
duur tak phaile hue ret kī saffākī thī
āsmān dhuul meñ lipTā ho tā-hadd-e-nazar
koī saaya na sarāb
car meñ bajtā huā giit bhī alfāz kī takrār thā
be-rūh thī lai
phir achānak mujhe mānūs se ik lams ne bedār kiyā
thapkiyāñ de ke mire shāne par
pyaar se sargoshī kī
maiñ tire saath yahāñ tak aayā
maiñ abhī chuum ke aayā huuñ tirī ḳhāk-e-vatan
terī galiyāñ tire mānūs dar-o-bām terā ghar āñgan
tere māñ-bāp ke āzurda se mushfiq chehre
muntazir āñkhoñ kī ḳhāmoshī ko chuum aayā huuñ
tere āñgan kī chamelī kī duā laayā huuñ
yaad hai yaad hai
koī kahtā hī rahā
vo september kī ḳhunuk raat thī maiñ thā tum thiiñ
radio par koī bajtī huī spanish dhun
duur pīpal ke ghane jañgal meñ
ham ko mad.hosh kiye detī thī
yaad hai
tujh ko laḌakpan meñ kabhī
aam ke baur kī bele kī chamelī kī mahak saath liye
kachche āñgan meñ jhuke niim kī shāḳhoñ meñ havā bahtī thī
aur ham donoñ bahut der talak jāgte the
raaz kī bāteñ kiyā karte the
koī kahtā hī rahā
yaad karo yaad karo
diip se diip jale yādoñ ke
aur kuchh aisā huā
yak-ba-yak chalne lagī bād-e-sabā najd ke sahrāoñ meñ
aur ik nuur kā dariyā sā nazar aane lagā sahrā meñ
car ke band darīche se utar aayā mirī god meñ chāñd
raat tarik thi ek kale samundar ki tarah
ajnabi des tha tanhai thi
jagmagate hue bazaron ki be-kaif faza
aur bojhal sa kiye deti thi jism-o-jaan ko
shahar ki had se pare
dur tak phaile hue ret ki saffaki thi
aasman dhul mein lipTa ho ta-hadd-e-nazar
koi saya na sarab
car mein bajta hua git bhi alfaz ki takrar tha
be-ruh thi lai
phir achanak mujhe manus se ek lams ne bedar kiya
thapkiyan de ke mere shane par
pyar se sargoshi ki
main tere sath yahan tak aaya
main abhi chum ke aaya hun teri KHak-e-watan
teri galiyan tere manus dar-o-baam tera ghar aangan
tere man-bap ke aazurda se mushfiq chehre
muntazir aankhon ki KHamoshi ko chum aaya hun
tere aangan ki chameli ki dua laya hun
yaad hai yaad hai
koi kahta hi raha
wo september ki KHunuk raat thi main tha tum thin
radio par koi bajti hui spanish dhun
dur pipal ke ghane jangal mein
hum ko madhosh kiye deti thi
yaad hai
tujh ko laDakpan mein kabhi
aam ke baur ki bele ki chameli ki mahak sath liye
kachche aangan mein jhuke nim ki shaKHon mein hawa bahti thi
aur hum donon bahut der talak jagte the
raaz ki baaten kiya karte the
koi kahta hi raha
yaad karo yaad karo
dip se dip jale yaadon ke
aur kuchh aisa hua
yak-ba-yak chalne lagi baad-e-saba najd ke sahraon mein
aur ek nur ka dariya sa nazar aane laga sahra mein
car ke band dariche se utar aaya meri god mein chand
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.