nuqton ki kashmakash
qāfiyoñ se koī chhuTkārā dilā.e
ban ga.ī taklīf-e-jāñ mujh ko radīf
bahr hai har vaqt dil meñ maujzan
(qāfiye kī āzmā.ish se guzar
qāfiya-paimā na ban
qāfiye ne aa dabochā qāfiya-paimā na ho)
khurdure-pan ko tarastī hai zabāñ
kyuuñ mañjhī haiñ is qadar nazmeñ mirī
kyuuñ sajī hai is qadar merī ġhazal
(qāfiye ko rok phir aane lagā)
zehn hai majnūn-e-ādāb-e-suḳhan
dil purāne ras kā rasiyā hai abhī
nikhat-e-māzi kā basiyā hai abhī
(qāfiya phir aa gayā majbūr huuñ
qāfiye ko rok phir aane lagā)
sochtā huuñ bahr kī maujoñ meñ jakḌā huuñ abhī
qāfiya to ḳhair kaafī ruk gayā
bahr to TuuTī nahīñ
bahr ik bahr-e-basīt
bahr ik dev-e-tanomand-o-muhīt
is qadar jiddat se kyuuñ hai kad mujhe
zehn o dil haiñ kyuuñ rivāyat ke asiir
qafiyon se koi chhuTkara dilae
ban gai taklif-e-jaan mujh ko radif
bahr hai har waqt dil mein maujzan
(qafiye ki aazmaish se guzar
qafiya-paima na ban
qafiye ne aa dabocha qafiya-paima na ho)
khurdure-pan ko tarasti hai zaban
kyun manjhi hain is qadar nazmen meri
kyun saji hai is qadar meri ghazal
(qafiye ko rok phir aane laga)
zehn hai majnun-e-adab-e-suKHan
dil purane ras ka rasiya hai abhi
nikhat-e-mazi ka basiya hai abhi
(qafiya phir aa gaya majbur hun
qafiye ko rok phir aane laga)
sochta hun bahr ki maujon mein jakDa hun abhi
qafiya to KHair kafi ruk gaya
bahr to TuTi nahin
bahr ek bahr-e-basit
bahr ek dew-e-tanomand-o-muhit
is qadar jiddat se kyun hai kad mujhe
zehn o dil hain kyun riwayat ke asir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.