Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nuqush-e-fikr-o-‘amal

Inam Thanvi

nuqush-e-fikr-o-‘amal

Inam Thanvi

Interesting Fact

حضرت احسان دانش کی نظم’’روداد عمل‘‘ کی ردیف و قافیہ میں)

dariyā-e-tabī'at ko ravāñ ham ne kiyā hai

durr-e-hā-e-ma'ānī ko 'ayāñ ham ne kiyā hai

yuuñ hāl-e-dil-e-zār bayāñ ham ne kiyā hai

ḳhud un ko bhī ab ashk-fishāñ ham ne kiyā hai

in meñ bhī nazar kuchh haqā.eq se hai mahrūm

ye tajziya-e-dīda-varāñ ham ne kiyā hai

kam haiñ bahut insāniyat-o-ḳhulq qadreñ

ye tajraba-e-ahl-e-jahāñ ham ne kiyā hai

hai baat hamārī ki rindoñ ko bahar-taur

zer-e-asar-e-pīr-e-muġhāñ ham ne kiyā hai

kyā ḳhuub ubhar aa.e nuqūsh-e-gul-o-lāla

āñkhoñ ko jo ḳhūñ-nāba-fashāñ ham ne kiyā hai

ik moḌ diyā hai ruḳh-e-tārīḳh ko jis ne

kirdār vo 'ālam pe 'ayāñ ham ne kiyā hai

māhaul ke zulmat-kada-e-tīra-shabī ko

ik jalva-gah-e-kāhkashāñ ham ne kiyā hai

goyā haiñ dil-o-dīda zabāñ sākit-o-ḳhāmosh

is tarz se bhī shor-e-fuġhāñ ham ne kiyā hai

paiham rahe ham husn-e-yaqīñ ke mutajassis

kab koī ġhalat vahm-o-gumāñ ham ne kiyā hai

'ibrat-kada-e-dahr ik khīñch tasvīr

jab zikr-e-jahān-e-guzarāñ ham ne kiyā hai

shā.istagī-e-fikr ko bhī naaz hai jis par

paidā vahī uslūb-e-bayāñ ham ne kiyā hai

labbaik kahā hai rasan-o-dār ko jis ne

vo hausla-e-qalb-e-tapāñ ham ne kiyā hai

ḳhallāq-e-do-'ālam kiyā zikr-o-tasavvur

kyā ḳhuub 'ilāj-e-ġham-e-jāñ ham ne kiyā hai

ham ne banāyā unheñ mardān-e-ḳhush-anfās

tabdīl ruḳh-e-bāda-kashāñ ham ne kiyā hai

har ḳhalvat-o-jalvat meñ jo kahte rahe daa.im

vo barsar-e-mimbar bhī bayāñ ham ne kiyā hai

har haal meñ raazī rahe ham us razā meñ

kab tabsira-e-sūd-o-ziyāñ ham ne kiyā hai

kohsār-o-samā jis ke uThāne se the mā'zūr

bardāsht vo ik bār-e-garāñ ham ne kiyā hai

haq-goī agar jurm hai ye jurm niko-tar

ham DaT ke ye kahte haiñ ki haañ ham ne kiyā hai

insān haiñ insān ham ik ashraf-e-maḳhlūq

tasḳhīr jo ye kaun-o-makāñ ham ne kiyā hai

jis darja pa.e-'ālam-e-bālā hai zarūrī

'in'ām' vo sāmān kahāñ ham ne kiyā hai

dariya-e-tabi'at ko rawan hum ne kiya hai

durr-e-ha-e-ma'ani ko 'ayan hum ne kiya hai

yun haal-e-dil-e-zar bayan hum ne kiya hai

KHud un ko bhi ab ashk-fishan hum ne kiya hai

in mein bhi nazar kuchh ki haqaeq se hai mahrum

ye tajziya-e-dida-waran hum ne kiya hai

kam hain bahut insaniyat-o-KHulq ki qadren

ye tajraba-e-ahl-e-jahan hum ne kiya hai

hai baat hamari hi ki rindon ko bahar-taur

zer-e-asar-e-pir-e-mughan hum ne kiya hai

kya KHub ubhar aae nuqush-e-gul-o-lala

aankhon ko jo KHun-naba-fashan hum ne kiya hai

ek moD diya hai ruKH-e-tariKH ko jis ne

kirdar wo 'alam pe 'ayan hum ne kiya hai

mahaul ke zulmat-kada-e-tira-shabi ko

ek jalwa-gah-e-kahkashan hum ne kiya hai

goya hain dil-o-dida zaban sakit-o-KHamosh

is tarz se bhi shor-e-fughan hum ne kiya hai

paiham rahe hum husn-e-yaqin ke mutajassis

kab koi ghalat wahm-o-guman hum ne kiya hai

'ibrat-kada-e-dahr ki ek khinch di taswir

jab zikr-e-jahan-e-guzaran hum ne kiya hai

shaistagi-e-fikr ko bhi naz hai jis par

paida wahi uslub-e-bayan hum ne kiya hai

labbaik kaha hai rasan-o-dar ko jis ne

wo hausla-e-qalb-e-tapan hum ne kiya hai

KHallaq-e-do-'alam ka kiya zikr-o-tasawwur

kya KHub 'ilaj-e-gham-e-jaan hum ne kiya hai

hum ne hi banaya unhen mardan-e-KHush-anfas

tabdil ruKH-e-baada-kashan hum ne kiya hai

har KHalwat-o-jalwat mein jo kahte rahe daim

wo barsar-e-mimbar bhi bayan hum ne kiya hai

har haal mein raazi rahe hum us ki raza mein

kab tabsira-e-sud-o-ziyan hum ne kiya hai

kohsar-o-sama jis ke uThane se the ma'zur

bardasht wo ek bar-e-garan hum ne kiya hai

haq-goi agar jurm hai ye jurm niko-tar

hum DaT ke ye kahte hain ki han hum ne kiya hai

insan hain insan hum ek ashraf-e-maKHluq

tasKHir jo ye kaun-o-makan hum ne kiya hai

jis darja pae-'alam-e-baala hai zaruri

'in'am' wo saman kahan hum ne kiya hai

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now