nuqush
jism par us ke aur jaan par
dīn-o-īmān par
fikr-o-īqān par
aql-o-vijdān par
sabt haiñ kitne gahre nuqūsh
us ke duniyā meñ aane se qabl
mulk aur qaum ne
rang aur nasl ne
tarz-o-ādāt ne
vaqt-o-hālāt ne
aglī pichhlī rivāyāt ne
apnī Daalī kamand
aur duniyā meñ aane ke baad
us ke maañ baap ne
dost ahbāb ne
qaul-o-aqvāl ne
hāl-o-ahvāl ne
rasm aur riit ne
haar aur jiit ne
apnā pheñkā hai daam
aise māhaul meñ
us kī fikr-o-nazar
us kā zauq-o-hunar
us kā soz-e-darūñ
us kā zabt-o-junūñ
us kī insāniyat
us kī yaktā.īyat
kaise āzād ho
kaise TūTeñge lāt-o-manāt
us kī raftār meñ loch guftār meñ shahd hai
us ke andāz meñ dilbarī
us kī āvāz meñ sāhirī
us kī āñkhoñ meñ rang-e-hayā
us ke māthe pe sabr-o-razā
narm-rau narm āvāz sī āb-e-jū
us kā dariyā talātum se nā-āshnā
us kī bijlī chamaktī nahīñ
us ke bādal baraste nahīñ
us ke sho.ale meñ hiddat nahīñ
us ke jazbe meñ shiddat nahīñ
ek habs-e-davām
zindagī gumbadoñ kī sadā
kaaTh kī putliyoñ kī tarah
jaise chāho nachā lo use
us kā apnā koī maiñ nahīñ
jism par us ke aur jaan par
din-o-iman par
fikr-o-iqan par
aql-o-wijdan par
sabt hain kitne gahre nuqush
us ke duniya mein aane se qabl
mulk aur qaum ne
rang aur nasl ne
tarz-o-adat ne
waqt-o-haalat ne
agli pichhli riwayat ne
apni Dali kamand
aur duniya mein aane ke baad
us ke man bap ne
dost ahbab ne
qaul-o-aqwal ne
haal-o-ahwal ne
rasm aur rit ne
haar aur jit ne
apna phenka hai dam
aise mahaul mein
us ki fikr-o-nazar
us ka zauq-o-hunar
us ka soz-e-darun
us ka zabt-o-junun
us ki insaniyat
us ki yaktaiyat
kaise aazad ho
kaise TuTenge lat-o-manat
us ki raftar mein loch guftar mein shahd hai
us ke andaz mein dilbari
us ki aawaz mein sahiri
us ki aankhon mein rang-e-haya
us ke mathe pe sabr-o-raza
narm-rau narm aawaz si aab-e-ju
us ka dariya talatum se na-ashna
us ki bijli chamakti nahin
us ke baadal baraste nahin
us ke shoale mein hiddat nahin
us ke jazbe mein shiddat nahin
ek habs-e-dawam
zindagi gumbadon ki sada
kaTh ki putliyon ki tarah
jaise chaho nacha lo use
us ka apna koi main nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.