nuzul-e-wahi
qadam chālīsvīñ manzil meñ us yūsuf ne jab rakkhā
to pahuñchā kārvān-e-vah.i āvāz-e-jaras ho kar
ki dil to jaag uThā āñkhoñ meñ ġhaflat niiñd kī chhā.ī
huā siine meñ is se maujzan ik lujja-e-irfāñ
ki taab is jazr-o-mad kī fitrat-e-insāñ nahīñ laa.ī
baḌhā josh is kā baḌh kar sāhil-e-aflāk tak pahuñchā
uThī mauj is se uTh kar arsh kī zanjīr khaḌkā.ī
jharokā arsh kā rūhul-qudus ne khol kar dekhā
to niklā muddatoñ kā rabt barsoñ kī shanāsā.ī
huiiñ jaarī zabāñ par āyateñ vo nuur kī jis par
fidā ho lahn-e-dā.ūdī-o-anfās-e-masīhā.ī
qadam chaaliswin manzil mein us yusuf ne jab rakkha
to pahuncha karwan-e-wahi aawaz-e-jaras ho kar
ki dil to jag uTha aankhon mein ghaflat nind ki chhai
hua sine mein is se maujzan ek lujja-e-irfan
ki tab is jazr-o-mad ki fitrat-e-insan nahin lai
baDha josh is ka baDh kar sahil-e-aflak tak pahuncha
uThi mauj is se uTh kar arsh ki zanjir khaDkai
jharoka arsh ka ruhul-qudus ne khol kar dekha
to nikla muddaton ka rabt barson ki shanasai
huin jari zaban par aayaten wo nur ki jis par
fida ho lahn-e-daudi-o-anfas-e-masihai
- Book : Jadeed Shora.e Urdu (Pg. 119)
- Author : Dr. Abdul Vaheed
- Publication : Firoz sons Printers Publishers Book sales
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.