o aasman wale
pāmāl-e-faqr-o-zillat haiñ izz-o-shān vaale
said-e-ġham-o-alam haiñ tīr-o-kamān vaale
benām-o-be-nishāñ haiñ nām-o-nishān vaale
be-tāb-o-be-tavān haiñ tāb-o-tavān vaale
ab un pe rahm farmā o āsmān vaale
haiñ saḳht mushkiloñ meñ hindostān vaale
arbāb-e-daulat-o-zar kangāl ho ga.e sab
sannā.a jis qadar the hammāl ho ga.e sab
faqr-o-fanā ke hāthoñ behāl ho ga.e sab
barbād ho ga.e sab pāmāl ho ga.e sab
ab in pe rahm farmā o āsmān vaale
haiñ saḳht mushkiloñ meñ hindostān vaale
andāz din ke badle atvār shab ke badle
ġham hī ḳhushī ke badle kulfat tarab ke badle
charḳh-e-kamīna-ḳhū ne tevar ġhazab ke badle
kyā jāniye liye haiñ zālim ne kab ke badle
ab un pe rahm farmā o āsmān vaale
haiñ saḳht mushkiloñ meñ hindostān vaale
jo taḳht ke makīñ the ab boriyā-nashīñ haiñ
jo barsar-e-falak the vo ab tah-e-zamīñ haiñ
ahl-e-kamāl-o-dānish ġhamnāk haiñ hazīñ haiñ
haiñ is tarah jahāñ meñ goyā kahīñ nahīñ haiñ
ab in pe rahm farmā o āsmān vaale
haiñ saḳht mushkiloñ meñ hindostān vaale
qaid-e-shadīd meñ haiñ āzād in ko kar de
barbād-o-muntashir haiñ ābād in ko kar de
azm-o-amal meñ goyā faulād in ko kar de
masrūr in ko kar de dil-shād in ko kar de
ab in pe rahm farmā o āsmān vaale
haiñ saḳht mushkiloñ meñ hindostān vaale
pamal-e-faqr-o-zillat hain izz-o-shan wale
said-e-gham-o-alam hain tir-o-kaman wale
benam-o-be-nishan hain nam-o-nishan wale
be-tab-o-be-tawan hain tab-o-tawan wale
ab un pe rahm farma o aasman wale
hain saKHt mushkilon mein hindostan wale
arbab-e-daulat-o-zar kangal ho gae sab
sannaa jis qadar the hammal ho gae sab
faqr-o-fana ke hathon behaal ho gae sab
barbaad ho gae sab pamal ho gae sab
ab in pe rahm farma o aasman wale
hain saKHt mushkilon mein hindostan wale
andaz din ke badle atwar shab ke badle
gham hi KHushi ke badle kulfat tarab ke badle
charKH-e-kamina-KHu ne tewar ghazab ke badle
kya jaaniye liye hain zalim ne kab ke badle
ab un pe rahm farma o aasman wale
hain saKHt mushkilon mein hindostan wale
jo taKHt ke makin the ab boriya-nashin hain
jo barsar-e-falak the wo ab tah-e-zamin hain
ahl-e-kamal-o-danish ghamnak hain hazin hain
hain is tarah jahan mein goya kahin nahin hain
ab in pe rahm farma o aasman wale
hain saKHt mushkilon mein hindostan wale
qaid-e-shadid mein hain aazad in ko kar de
barbaad-o-muntashir hain aabaad in ko kar de
azm-o-amal mein goya faulad in ko kar de
masrur in ko kar de dil-shad in ko kar de
ab in pe rahm farma o aasman wale
hain saKHt mushkilon mein hindostan wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.