omission
kisī darāz meñ paḌī hoñgī
merī āñkhoñ se lipTī roġhnī putliyāñ
jin pe bohtān hai
habs-rasīda kamre kī siskiyāñ kaaT khāne kā
tanomand ḳhātūn kī tarsīb-zada rānoñ ke beach
tasādum ke halqe meñ paḌā
zard sīlan ke ḳhol meñ raḳhne buntā
shahr-e-ma.adūm kā lāsha nochte ḳhudā ko ghūrtā huā maiñ
ḳhudā jo surḳh doshīza ke badan par kunda bosa-gāhoñ ke mānind muqaddas
siyāh-mast mallāh kī aurat mere siine pe sar rakhte hue chiñghāḌtī hai
vo jahāz ke mastūl se kuud kar marā thā
jañg ke dinoñ meñ purtagālī hasīna se mulāqāt
vo yaqīnan mujhe mubtalā kar saktī thī
magar
ham jazīroñ se ḳhālī haath lauTne vaale qasam khāte haiñ
hamāre paas mashkīzoñ meñ saste guḌ kī sharāb hai
aur kuchh dost jo vāfar miqdār meñ tambākū ugā rahe haiñ
sartānī rutūbatoñ meñ luThḌe
hamāre Taḳhne bārūd se zaḳhmī haiñ
ham apne bāzuoñ se jhaḌte hue baal tumheñ dikhā sakte haiñ
nam-ḳhurda bandūqoñ aur nākāra jēpoñ ke alāva
hamāre qabze meñ chand laḌkiyāñ aur rasad-ḳhāne haiñ
dhajjiyāñ aur chīthḌe sameTne ko nahīf uñgliyāñ ziyāda nahīñ haiñ
nichlī darāz se merī bohtān zada āñkheñ nikāl laao
mere bachche
kaash tumheñ javānī meñ maut aa jaatī
kisi daraaz mein paDi hongi
meri aankhon se lipTi roghni putliyan
jin pe bohtan hai
habs-rasida kamre ki siskiyan kaT khane ka
tanomand KHatun ki tarsib-zada ranon ke beach
tasadum ke halqe mein paDa
zard silan ke KHol mein raKHne bunta
shahr-e-madum ka lasha nochte KHuda ko ghurta hua main
KHuda jo surKH doshiza ke badan par kunda bosa-gahon ke manind muqaddas
siyah-mast mallah ki aurat mere sine pe sar rakhte hue chinghaDti hai
wo jahaz ke mastul se kud kar mara tha
jang ke dinon mein purtagali hasina se mulaqat
wo yaqinan mujhe mubtala kar sakti thi
magar
hum jaziron se KHali hath lauTne wale qasam khate hain
hamare pas mashkizon mein saste guD ki sharab hai
aur kuchh dost jo wafar miqdar mein tambaku uga rahe hain
sartani rutubaton mein luThDe
hamare TaKHne barud se zaKHmi hain
hum apne bazuon se jhaDte hue baal tumhein dikha sakte hain
nam-KHurda banduqon aur nakara jeepon ke alawa
hamare qabze mein chand laDkiyan aur rasad-KHane hain
dhajjiyan aur chithDe sameTne ko nahif ungliyan ziyaada nahin hain
nichli daraaz se meri bohtan zada aankhen nikal lao
mere bachche
kash tumhein jawani mein maut aa jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.