open heart surgery
pahlī āvāz ġhussailī garajtī
dekhiyo mat kholiyo is vish bhare muuzī kā muñh
dekhiyo in rāstoñ meñ jal bujhegī raushnī
āsmāñ ke jism uude jism se risne lagegī piip bhī
dūsrī āvāz Darte hue sargoshī
us kī dhaḌkan hī se chaltī hai zamāñ kī nabz
pahlī āvāz ġhussailī garajtī
aur terī zabāñ chup
zamharīrī saañs us kī asr-e-yaḳhbandān le aa.egī getī par
mat kholiyo
mat kholiyo
dekhne ko merā siina hai dar-asl us kī kachhār
jis kī Dhalvānoñ ke daldal lothaḌe haiñ ḳhuun ke
jis pe ug aa.iiñ haiñ ḳhud-rau jhāḌiyāñ kuchh saañs kī
ghaat meñ aa jā.egā us pret ke
baagh ke sar saañp ke dhaḌ vaalā ye ifrīt
khob degā daañt gardan meñ tirī
dekhiyo mat kholiyo
mat kholiyo is vish bhare muuzī kā muñh
azhdar kā muñh
ajgar kā muñh
af.ī kā muñh
is vish bhare muuzī kā muñh
ye rageñ
duur tak phailī huī
barzaḳh talak phailī huī jaḌ
gaḌ na jaa.eñ tujh meñ bhī
ye surḳh saañp us kīna-var kī dum haiñ
khā saktī haiñ sab duniyā kā sabz
dekhiyo ye bhuut ādam-ḳhor hai
saañs letā har manush khā jā.egā
mat kholiyo
mat kholiyo is vish bhare muuzī kā muñh
is ḳhabīs āzārda ko marne de
is jhaḌūs īzā-rasāñ ko marne de
is ke mar jaane meñ insāñ kā bhalā
is ke mar jaane meñ yazdāñ kā bhalā
pahli aawaz ghussaili garajti
dekhiyo mat kholiyo is wish bhare muzi ka munh
dekhiyo in raston mein jal bujhegi raushni
aasman ke jism ude jism se risne lagegi pip bhi
dusri aawaz Darte hue sargoshi
us ki dhaDkan hi se chalti hai zaman ki nabz
pahli aawaz ghussaili garajti
aur teri zaban chup
zamhariri sans us ki asr-e-yaKHbandan le aaegi geti par
mat kholiyo
mat kholiyo
dekhne ko mera sina hai dar-asl us ki kachhaar
jis ki Dhalwanon ke daldal lothaDe hain KHun ke
jis pe ug aain hain KHud-rau jhaDiyan kuchh sans ki
ghat mein aa jaega us pret ke
bagh ke sar sanp ke dhaD wala ye ifrit
khob dega dant gardan mein teri
dekhiyo mat kholiyo
mat kholiyo is wish bhare muzi ka munh
azhdar ka munh
ajgar ka munh
afi ka munh
is wish bhare muzi ka munh
ye ragen
dur tak phaili hui
barzaKH talak phaili hui jaD
gaD na jaen tujh mein bhi
ye surKH sanp us kina-war ki dum hain
kha sakti hain sab duniya ka sabz
dekhiyo ye bhut aadam-KHor hai
sans leta har manush kha jaega
mat kholiyo
mat kholiyo is wish bhare muzi ka munh
is KHabis aazarda ko marne de
is jhaDus iza-rasan ko marne de
is ke mar jaane mein insan ka bhala
is ke mar jaane mein yazdan ka bhala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.