os se bhara gilas
vo phal hai ras bharā
ki phal kī ras bharī asaas hai
hai sab kī dastaras meñ vo
yā sirf mere ās-pās hai
laboñ ko kholtī
vo 'aam guftugū hai
yā laboñ ko seal kartā ik mu'āmla-e-ḳhās hai
mirī tarah vo shād-kām hai
yā ḳhāndān vāloñ kī tarah udaas hai
vo aa gayā to ho ga.ī hai jāmunī fazā
ki
aur hai koī ki jis kā jāmunī libās hai
hai baaġh kī ravish
yā
main gate ke qarīb lahlahātī ghaas hai
vo os hai ki os se bharā purā gilās hai
wo phal hai ras bhara
ki phal ki ras bhari asas hai
hai sab ki dastaras mein wo
ya sirf mere aas-pas hai
labon ko kholti
wo 'am guftugu hai
ya labon ko seal karta ek mu'amla-e-KHas hai
meri tarah wo shad-kaam hai
ya KHandan walon ki tarah udas hai
wo aa gaya to ho gai hai jamuni faza
ki
aur hai koi ki jis ka jamuni libas hai
hai bagh ki rawish
ya
main gate ke qarib lahlahati ghas hai
wo os hai ki os se bhara pura gilas hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.