Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pagal

Abbas Tabish

pagal

Abbas Tabish

MORE BYAbbas Tabish

    vo aayā shahr taraf

    ik us chaap khanak

    qayām-e-roz-e-ishq pukār thī

    ki barg-o-bār-e-ḳhāk fishār thī

    vo aayā shahr taraf

    lapak ke iiñT taraf

    vo is tarah baḌhā ki jaise nān-e-ḳhushk par koī

    sag-e-gurasua gir paḌe

    vo gāliyoñ bharī zabāñ galī galī chhalak paḌī

    har ek jeb us uñgliyoñ se taar taar thī

    ki us thūthnī se phūTtī gamak

    qiyām-e-roz-e-ishq pukār thī

    vo gāliyoñ bharī zabāñ mirā libās gandagī se bhar ga.ī

    na jaane kitne log

    us ke dast-e-dashna-dār se guzar ga.e

    hayāt paar kar ga.e

    vo be-hunar subuk-tanī se Dar gayā

    sab us rah se haT ga.e

    to us ne apnī ruuh barahnagī

    zamīn-e-māh taraf uchhāl

    ki ye hunar usī thā

    wo aaya shahr ki taraf

    ek us ki chap ki khanak

    qayam-e-roz-e-ishq ki pukar thi

    ki barg-o-bar-e-KHak ka fishaar thi

    wo aaya shahr ki taraf

    lapak ke inT ki taraf

    wo is tarah baDha ki jaise nan-e-KHushk par koi

    sag-e-gurasua gir paDe

    wo galiyon bhari zaban gali gali chhalak paDi

    har ek jeb us ki ungliyon se tar tar thi

    ki us ki thuthni se phuTti gamak

    qiyam-e-roz-e-ishq ki pukar thi

    wo galiyon bhari zaban mera libas gandagi se bhar gai

    na jaane kitne log

    us ke dast-e-dashna-dar se guzar gae

    hayat par kar gae

    wo be-hunar subuk-tani se Dar gaya

    sab us ki rah se haT gae

    to us ne apni ruh ki barahnagi

    zamin-e-mah ki taraf uchhaal di

    ki ye hunar usi ka tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now