pagal
dekh nī maa.e?
sundar māthe kī rekhā.eñ
tere haath kī rekhāoñ se miltī-jultī
uttar dakhkhin pūrab pachchhim ek safar hai Tāñvāñ Tāñvāñ
dekh gulābī aag pe señkī
Dab khaḌbī roTī jaisā chehrā merā
dekh nī maa.e
sarsoñ jaise haath the mere
hare hare kañgan kī chunnī
giiTa giiTa bālan chunñā in ko mahñgā paḌ jā.egā
kab sochā thā
dīvāroñ par gaarā milte
haath adhūre rah jā.eñge
aadhe aadhe logoñ andar puure ḳhvāb mashaqqat jaise
kaahe kaaT sake hai koī
itnā to batlāyā hotā
dekh nī maa.e!
kīkar kī shāḳhoñ sī bāteñ
roz nagalnī paḌ jaa.eñ to
hañDiyā kachchī rah jaatī hai
hañDiyā kachchī rah jaa.e to pakke lafz hathauḌā ban kar
man kā kachlā kar dete haiñ
TaaT kā paivand aañkh meñ ho to
resham thoḌā paḌ jaatā hai
saañs kī puunī punte punte
jīvan aadhā rah jaatā hai
uploñ kī dīvāreñ ik din
jism ke bhītar dar aa jaatī hai
sahn kā shīsham peñg ke mausam se pahle murjhā jaatā hai
bāñheñ jhūlā ban jaatī haiñ
ġham ko pañkhī jhalte jhalte
saarī bāteñ man andar kī kachrā ghāTī ban jaatī haiñ
āvāzoñ kī is duniyā meñ
tanhā bāteñ karte karte
banda rogī ho jaatā hai
sar kī chāñdī meñ naalī kā tel chapaḌ kar
nashsha karne vaale jogī
pyaas bujhāne aa jaate haiñ
mushk kā bālan ban jaatā hai
aur phir duniyā naam badal kar kaise pāgal kar detī hai!
dekh nī maa.e!
dekh ni mae?
sundar mathe ki rekhaen
tere hath ki rekhaon se milti-julti
uttar dakhkhin purab pachchhim ek safar hai Tanwan Tanwan
dekh gulabi aag pe senki
Dab khaDbi roTi jaisa chehra mera
dekh ni mae
sarson jaise hath the mere
hare hare kangan ki chunni
giTa giTa baalan chunna in ko mahnga paD jaega
kab socha tha
diwaron par gara milte
hath adhure rah jaenge
aadhe aadhe logon andar pure KHwab mashaqqat jaise
kahe kaT sake hai koi
itna to batlaya hota
dekh ni mae!
kikar ki shaKHon si baaten
roz nagalni paD jaen to
hanDiya kachchi rah jati hai
hanDiya kachchi rah jae to pakke lafz hathauDa ban kar
man ka kachla kar dete hain
TaT ka paiwand aankh mein ho to
resham thoDa paD jata hai
sans ki puni punte punte
jiwan aadha rah jata hai
uplon ki diwaren ek din
jism ke bhitar dar aa jati hai
sahn ka shisham peng ke mausam se pahle murjha jata hai
banhen jhula ban jati hain
gham ko pankhi jhalte jhalte
sari baaten man andar ki kachra ghaTi ban jati hain
aawazon ki is duniya mein
tanha baaten karte karte
banda rogi ho jata hai
sar ki chandi mein nali ka tel chapaD kar
nashsha karne wale jogi
pyas bujhane aa jate hain
mushk ka baalan ban jata hai
aur phir duniya nam badal kar kaise pagal kar deti hai!
dekh ni mae!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.