pagalon ki madh mein
pāgaloñ se nahīñ
bahut Dar lagtā hai, mujhe
normal aur zahīn logoñ se
kuchh bhī kar sakte haiñ
vo
apnī mahbūbiyat meñ
qahr aur fitne se bharī
ḳhud-pasandī meñ
kuchh bhī soch sakte haiñ
kuchh bhī chaah sakte haiñ
mansūbe banānā
aur sāzisheñ karnā mushkil nahīñ hotā
un ke liye
yaqīn rahtā hai unheñ
kuchh bhī kar saktī hai zehānat
agar mushkil koī vaar karegī
to Dhaal ban jā.egī zehānat
normal
bahut muta.assir hote haiñ un se
un jaisā honā chāhte haiñ
unhī kā saath dete haiñ
kisī bhī aurat ke baare meñ
kuchh bhī soch sakte haiñ
zahīn aur normal
mantiq se chalte haiñ aur hisāb se
ishq nahīñ kar sakte isī liye
ye baat to sābit nahīñ
ki ishq
pahle mahbūb ke dil meñ paidā hotā hai
aurteñ ye sab samajhtī haiñ
mardoñ se kahīñ ziyāda
ahmaq-tarīn lagne vaalī aurat bhī
in muāmloñ meñ
kahīñ aage hotī hai kisī bhī mard se
phir bhī
phañs hī jaatī haiñ be-chārī
phañstī chalī jaatī hai
pāgaloñ ko qubūl nahīñ kartīñ vo
hālāñki vahī jāntī haiñ sab se ziyāda
ishq to kaam hai sirf pāgaloñ kā
naach sakte haiñ pāgal
un ke ḳhayāl meñ
yaad kar sakte haiñ unheñ
phūloñ ko dekh kar
sun sakte haiñ havā se un kī bāteñ
jo un kī taraf se na bhī aa.ī ho
daraḳhtoñ ko chaltā huā dekh sakte haiñ
un ke saath
bharī dopahroñ meñ
dhuup par hairān ho sakte haiñ
un ke muqābil khaḌā kar sakte haiñ
dhuup aur saa.e ko pāgal
aur shā.erī ban saktī haiñ
un ke baare meñ
sirf pāgaloñ kī bāteñ
pagalon se nahin
bahut Dar lagta hai, mujhe
normal aur zahin logon se
kuchh bhi kar sakte hain
wo
apni mahbubiyat mein
qahr aur fitne se bhari
KHud-pasandi mein
kuchh bhi soch sakte hain
kuchh bhi chah sakte hain
mansube banana
aur sazishen karna mushkil nahin hota
un ke liye
yaqin rahta hai unhen
kuchh bhi kar sakti hai zehanat
agar mushkil koi war karegi
to Dhaal ban jaegi zehanat
normal
bahut mutassir hote hain un se
un jaisa hona chahte hain
unhi ka sath dete hain
kisi bhi aurat ke bare mein
kuchh bhi soch sakte hain
zahin aur normal
mantiq se chalte hain aur hisab se
ishq nahin kar sakte isi liye
ye baat to sabit nahin
ki ishq
pahle mahbub ke dil mein paida hota hai
aurten ye sab samajhti hain
mardon se kahin ziyaada
ahmaq-tarin lagne wali aurat bhi
in muamlon mein
kahin aage hoti hai kisi bhi mard se
phir bhi
phans hi jati hain be-chaari
phansti chali jati hai
pagalon ko qubul nahin kartin wo
haalanki wahi jaanti hain sab se ziyaada
ishq to kaam hai sirf pagalon ka
nach sakte hain pagal
un ke KHayal mein
yaad kar sakte hain unhen
phulon ko dekh kar
sun sakte hain hawa se un ki baaten
jo un ki taraf se na bhi aai ho
daraKHton ko chalta hua dekh sakte hain
un ke sath
bhari dopahron mein
dhup par hairan ho sakte hain
un ke muqabil khaDa kar sakte hain
dhup aur sae ko pagal
aur shaeri ban sakti hain
un ke bare mein
sirf pagalon ki baaten
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.