pakizgi ka solahwan sal
āñkheñ hī āñkheñ ug aa.ī haiñ saare darvāzoñ par
apnā ḳhuun hī
gandī gandī bāteñ kartā hai kānoñ meñ
har khūñTī merī jānib añgusht-numā.ī kartī hai
ghuur ghuur kar
mujh ko har shai dekh rahī hai
garm garm sāñsoñ ke phīke
takiye se niklā karte haiñ
giile hoñT havā ke
mere gāloñ par reñgā karte haiñ
ik an-jānī ḳhvāhish pallū kheñch rahī hai
apnī hī parchhā.īñ mujh ko bheñch rahī hai
aankhen hi aankhen ug aai hain sare darwazon par
apna KHun hi
gandi gandi baaten karta hai kanon mein
har khunTi meri jaanib angusht-numai karti hai
ghur ghur kar
mujh ko har shai dekh rahi hai
garm garm sanson ke phike
takiye se nikla karte hain
gile honT hawa ke
mere galon par renga karte hain
ek an-jaani KHwahish pallu khench rahi hai
apni hi parchhain mujh ko bhench rahi hai
- Book : kamaan (Pg. 352)
- Author : muzaffar hanfii
- Publication : arshia publication (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.