pam ke peD se guftugu
mujhe sabz hairat se kyuuñ dekhte ho
vahī titliyāñ jam.a karne kī hobby
idhar kheñch laa.ī
magar titliyāñ itnī zīrak haiñ
hijrat ke TuuTe paroñ par
havā ke doshāle meñ lipTī
mire ḳhauf se ajnabī jañgaloñ meñ
kahīñ jā chhupīñ...
aur thak haar kar vāpsī meñ
sarakte hue ek patthar se bachte hue
is taraf maiñ ne dekhā
to aisā lagā
ye pahāḌī kisī dev-haikal farishte kā juutā hai
tum kattha.ī chhāl ke tañg moze meñ
ek pair Daale
ye juutā pahanñe kī koshish meñ lañgDā rahe...
dūsrī Taañg shāyad
kisī ālamī jañg meñ uḌ ga.ī hai
mirā jaal ḳhālī
magar dil masarrat ke ehsās se bhar gayā
tum usī bāñkpan se
usī tarha
ganjī pahāḌī par
apnī harī vig lagā.e khaḌe ho
ye hai.at-kazā.ī jo bhaa.ī
to nazdīk se dekhne aa gayā huuñ
zarā apne pañkhe hilā do
mujhe apne dāman kī ThanDī havā do
bahut thak gayā huuñ
mujhe sabz hairat se kyun dekhte ho
wahi titliyan jama karne ki hobby
idhar khench lai
magar titliyan itni zirak hain
hijrat ke TuTe paron par
hawa ke doshaale mein lipTi
mere KHauf se ajnabi jangalon mein
kahin ja chhupin
aur thak haar kar wapsi mein
sarakte hue ek patthar se bachte hue
is taraf main ne dekha
to aisa laga
ye pahaDi kisi dew-haikal farishte ka juta hai
tum katthai chhaal ke tang moze mein
ek pair Dale
ye juta pahanne ki koshish mein langDa rahe
dusri Tang shayad
kisi aalami jang mein uD gai hai
mera jal KHali
magar dil masarrat ke ehsas se bhar gaya
tum usi bankpan se
usi tarha
ganji pahaDi par
apni hari wig lagae khaDe ho
ye haiat-kazai jo bhai
to nazdik se dekhne aa gaya hun
zara apne pankhe hila do
mujhe apne daman ki ThanDi hawa do
bahut thak gaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.