panchwan mausam
kahne ko to chaar haiñ mausam
pāñchvāñ mausam
banjar-pan kā jis meñ
fikr ke saare taa.ir
harf kī shāḳh se
uḌ jaate haiñ
jis meñ lafz kī ḳhushbū
sarsar le jaatī hai
be-rangī aur be-kaifī ke
in bāñjh paloñ meñ
ḳhālī-pan meñ
sub.h se le kar shaam talak
yaas kī taan pe
naach naach ke
jism ko bojhal
kar dete haiñ
fikr-o-ḳhayāl ke
saare paikar
nīlāhaT ke
gahre ġhaar meñ
gir jaate haiñ
dhīre dhīre
saare sabz gulābī mausam
kaalī raat meñ Dhal
jaate haiñ
āñkheñ bhī to ik mausam haiñ
merī āñkheñ
pāñchvāñ mausam
jin meñ koī ḳhvāb
nahīñ hai
lab yāqūtī
lekin in par
terī yaad kī
baas
nahīñ hai
jism hai bojhal
ruuh pareshāñ
fikr akelī
aur is dil meñ
ek hī dhaḌkā
ab kuchh hogā
kab kuchh hogā
kahne ko to chaar hain mausam
panchwan mausam
banjar-pan ka jis mein
fikr ke sare tair
harf ki shaKH se
uD jate hain
jis mein lafz ki KHushbu
sarsar le jati hai
be-rangi aur be-kaifi ke
in banjh palon mein
KHali-pan mein
subh se le kar sham talak
yas ki tan pe
nach nach ke
jism ko bojhal
kar dete hain
fikr-o-KHayal ke
sare paikar
nilahaT ke
gahre ghaar mein
gir jate hain
dhire dhire
sare sabz gulabi mausam
kali raat mein Dhal
jate hain
aankhen bhi to ek mausam hain
meri aankhen
panchwan mausam
jin mein koi KHwab
nahin hai
lab yaquti
lekin in par
teri yaad ki
bas
nahin hai
jism hai bojhal
ruh pareshan
fikr akeli
aur is dil mein
ek hi dhaDka
ab kuchh hoga
kab kuchh hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.