pani ki umr
har us chiiz ke baare meñ
kuchh bhī kahnā ḳhatarnāk hai
jis kā koī rang nahīñ hotā
jaise paanī
paanī kī ḳhāmoshī
ḳhāmoshī ke bhītar
atal meñ anal sī pal-pal
dhadhaktī chhaTpaTātī bhāshā
aur phir
ye kahnā bhī itnā āsān kahāñ hai
ki purānā qila purānā hai
yā qile ke pattharoñ se lagā
mekhlā-kār Thahrā huā paanī
bhāshā ko dekhūñ yā paanī ko sunūñ
kyā paanī kī umr tai nahīñ ho saktī
svaroñ kā ākāsh shunya meñ hī
anhad kī bhāshā boltā hai
har us chiz ke bare mein
kuchh bhi kahna KHatarnak hai
jis ka koi rang nahin hota
jaise pani
pani ki KHamoshi
KHamoshi ke bhitar
atal mein anal si pal-pal
dhadhakti chhaTpaTati bhasha
aur phir
ye kahna bhi itna aasan kahan hai
ki purana qila purana hai
ya qile ke pattharon se laga
mekhla-kar Thahra hua pani
bhasha ko dekhun ya pani ko sunun
kya pani ki umr tai nahin ho sakti
swaron ka aakash shunya mein hi
anhad ki bhasha bolta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.