pani mein gum KHwab
ḳhvāb aur ḳhvāhish meñ
fāsla nahīñ hotā
aks aur paanī ke
darmiyān āñkhoñ meñ
ā.īna nahīñ hotā
soch kī lakīroñ se
shakl kyā banāoge
dard kī musallas meñ
zāviya nahīñ hotā
be-shumār nasloñ ke
ḳhvāb ek se lekin
niiñd aur jigrātā
ek sā nahīñ hotā
jauhrī nizāmoñ meñ
naam bhuul jaate haiñ
code yaad rahte haiñ
itemi dhamākoñ se
tābkār nasloñ ke
ḳhvāb TuuT jaate haiñ
shahr Duub jaate haiñ
markaze bikharte haiñ
dā.ere simaTte haiñ
raqs ke tamāshe meñ
arz o shams hote haiñ
aur ḳhudā nahīñ hotā
sad-hazār sāloñ meñ
ek nuur lamhe kā
TuuT kar bikhar jaanā
hādsa to hotā hai
vāqi.a nahīñ hotā
history tasalsul hai
ek baar TuuTe to
dūr-bīñ nigāheñ bhī
thak ke haar jaatī haiñ
gum-shuda zamīnoñ se
munqat.a zamānoñ se
rābta nahīñ hotā
nanhe munne bachchoñ ke
nau-bahār hāthoñ meñ
phuul kaun dekhegā
aane vaalī sadiyoñ meñ
terī merī āñkhoñ ke
ḳhvāb kaun dekhegā
zer-e-āb chīzoñ kā
kuchh patā nahīñ hotā!
KHwab aur KHwahish mein
fasla nahin hota
aks aur pani ke
darmiyan aankhon mein
aaina nahin hota
soch ki lakiron se
shakl kya banaoge
dard ki musallas mein
zawiya nahin hota
be-shumar naslon ke
KHwab ek se lekin
nind aur jigraata
ek sa nahin hota
jauhri nizamon mein
nam bhul jate hain
code yaad rahte hain
itemi dhamakon se
tabkar naslon ke
KHwab TuT jate hain
shahr Dub jate hain
markaze bikharte hain
daere simaTte hain
raqs ke tamashe mein
arz o shams hote hain
aur KHuda nahin hota
sad-hazar salon mein
ek nur lamhe ka
TuT kar bikhar jaana
hadsa to hota hai
waqia nahin hota
history tasalsul hai
ek bar TuTe to
dur-bin nigahen bhi
thak ke haar jati hain
gum-shuda zaminon se
munqata zamanon se
rabta nahin hota
nanhe munne bachchon ke
nau-bahaar hathon mein
phul kaun dekhega
aane wali sadiyon mein
teri meri aankhon ke
KHwab kaun dekhega
zer-e-ab chizon ka
kuchh pata nahin hota!
- Book : Pani mein gum khawab (Pg. 27)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.