pani
paanī ko isti.māl karo ehtiyāt se
aur is kī dekh-bhāl karo ehtiyāt se
paanī to ek ne.amat-e-parvardigār hai
paanī mile to baaġh hai rang-e-bahār hai
paanī se lāla-zār rah-e-ḳhār-dār hai
paanī kā har kisī ko yahāñ intizār hai
paanī ko isti.māl karo ehtiyāt se
aur is kī dekh-bhāl karo ehtiyāt se
paanī mile to rahtī hai khetoñ meñ zindagī
paanī se hai kisān kī āñkhoñ meñ raushnī
paanī se hī zamīn kī miTTī meñ hai namī
paanī se duur hotī hai har ik kī tishnagī
paanī ko isti.māl karo ehtiyāt se
aur is kī dekh-bhāl karo ehtiyāt se
paanī baḌī hī qīmtī daulat hai be-gumāñ
paanī se hai hamāre badan meñ lahū ravāñ
paanī se biij hotā hai zer-e-zamīñ javāñ
paanī agar mile to hai sahrā bhī gulsitāñ
paanī ko isti.māl karo ehtiyāt se
aur is kī dekh-bhāl karo ehtiyāt se
allāh kā karam hai jo paanī hameñ diyā
lāzim hai shukr us kā kare har koī adā
kab hotī zindagī jo vo paanī na bhejtā
hotā zamīn kā to nazāra hī kuchh judā
paanī ko isti.māl karo ehtiyāt se
aur is kī dekh-bhāl karo ehtiyāt se
har jān-dār karne lagā hai yahī savāl
paanī agar na hotā to kyā hotā apnā haal
gar ehtiyāt ham na kareñge to hai vabāl
ab aane vaalī nasloñ kā kuchh to karo ḳhayāl
paanī ko isti.māl karo ehtiyāt se
aur is kī dekh-bhāl karo ehtiyāt se
pani ko istimal karo ehtiyat se
aur is ki dekh-bhaal karo ehtiyat se
pani to ek neamat-e-parwardigar hai
pani mile to bagh hai rang-e-bahaar hai
pani se lala-zar rah-e-KHar-dar hai
pani ka har kisi ko yahan intizar hai
pani ko istimal karo ehtiyat se
aur is ki dekh-bhaal karo ehtiyat se
pani mile to rahti hai kheton mein zindagi
pani se hai kisan ki aankhon mein raushni
pani se hi zamin ki miTTi mein hai nami
pani se dur hoti hai har ek ki tishnagi
pani ko istimal karo ehtiyat se
aur is ki dekh-bhaal karo ehtiyat se
pani baDi hi qimti daulat hai be-guman
pani se hai hamare badan mein lahu rawan
pani se bij hota hai zer-e-zamin jawan
pani agar mile to hai sahra bhi gulsitan
pani ko istimal karo ehtiyat se
aur is ki dekh-bhaal karo ehtiyat se
allah ka karam hai jo pani hamein diya
lazim hai shukr us ka kare har koi ada
kab hoti zindagi jo wo pani na bhejta
hota zamin ka to nazara hi kuchh juda
pani ko istimal karo ehtiyat se
aur is ki dekh-bhaal karo ehtiyat se
har jaan-dar karne laga hai yahi sawal
pani agar na hota to kya hota apna haal
gar ehtiyat hum na karenge to hai wabaal
ab aane wali naslon ka kuchh to karo KHayal
pani ko istimal karo ehtiyat se
aur is ki dekh-bhaal karo ehtiyat se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.