pani se nikalta hua jazira
mujhe mare
tujhe bichhḌe to ik zamāna huā
to phir ye kyā hai jo duniyā ujaaḌ lagtī hai
ka.ī dinoñ se koī film bhī nahīñ dekhī
kisī ke saath manāne gayā na picnic hī
sharāb meñ bhī vo pahlā sā zā.iqa na rahā
akele-pan kā phir ehsās jaag uThThā hai
agar ye terī kamī hai to mujh ko zinda jaan
yahīñ kahīñ se kisī din maiñ tujh ko chhū lūñgā
mujhe mare
tujhe bichhDe to ek zamana hua
to phir ye kya hai jo duniya ujaD lagti hai
kai dinon se koi film bhi nahin dekhi
kisi ke sath manane gaya na picnic hi
sharab mein bhi wo pahla sa zaiqa na raha
akele-pan ka phir ehsas jag uThTha hai
agar ye teri kami hai to mujh ko zinda jaan
yahin kahin se kisi din main tujh ko chhu lunga
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 132)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.