panw ke niche ki zamin
safar meñ bhiiḌ bahut hai pata nahīñ chaltā
ki rāsta hai kidhar aur manzileñ haiñ kahāñ
har ek aadmī apnī talāsh meñ gum hai
magar kisī ko bhī apnī ḳhabar nahīñ miltī
har ek aañkh hai ik dūsre se begāna
har ek chehra hai ik dūsre se an-jānā
havā pe chalte hue log thak chuke haiñ magar
kahīñ Thaharne ko koī jagah nahīñ miltī
zamīn paañv ke nīche se kho ga.ī hai kahīñ
safar mein bhiD bahut hai pata nahin chalta
ki rasta hai kidhar aur manzilen hain kahan
har ek aadmi apni talash mein gum hai
magar kisi ko bhi apni KHabar nahin milti
har ek aankh hai ek dusre se begana
har ek chehra hai ek dusre se an-jaana
hawa pe chalte hue log thak chuke hain magar
kahin Thaharne ko koi jagah nahin milti
zamin panw ke niche se kho gai hai kahin
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 119)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.