parle taT
raat kī purvā
sūkhe patte
niile piile ratte
ik mohtāt sī chaap
koī tilismī jaap
chāroñ or meñ lahreñ letī
ek purānī ḳhushbū
raat huī āñchal kī syāhī
tan-man nuur kā phuul
hauz kī marmar vaalī kagar
tāroñ bharī kahānī
shīsha shīsha paanī
paanī meñ do aks
larzāñ larzāñ raqs
dhīme giit farishtoñ vaale
paak sarishtoñ vaale
pārle taT sandal kā jañgal
nāgniyā kā kunDal
lahū kī biitī boss
aadam qad kī ghaas
chand qadam par
ek bujhī talvār
miTī miTī sī dhaar
aur zarā sā aage
zañg lagī ik Dhaal
biite saikḌoñ saal
raat ki purwa
sukhe patte
nile pile ratte
ek mohtat si chap
koi tilismi jap
chaaron or mein lahren leti
ek purani KHushbu
raat hui aanchal ki syahi
tan-man nur ka phul
hauz ki marmar wali kagar
taron bhari kahani
shisha shisha pani
pani mein do aks
larzan larzan raqs
dhime git farishton wale
pak sarishton wale
parle taT sandal ka jangal
nagniya ka kunDal
lahu ki biti boss
aadam qad ki ghas
chand qadam par
ek bujhi talwar
miTi miTi si dhaar
aur zara sa aage
zang lagi ek Dhaal
bite saikDon sal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.