pas-e-wafa
dil hai ranjūr yahāñ
hai ye dastūr yahāñ
rahrav aate haiñ yahāñ
lauTe jaate haiñ yahāñ
na koī pās-e-vafā
aur na ehsās-e-vafā
karte haiñ jaur-o-jafā
zulm hai in ko ravā
kuchh bharosa hī nahīñ
koī apnā hī nahīñ
ajnabī ban ke raheñ
har jafā dil pe saheñ
roz bedād na.ī
roz uftād na.ī
kyā kareñ haal bayāñ
bekasī kā hai samāñ
hāl-e-dil kuchh na kaheñ
roz bedād saheñ
har taraf āh-o-bukā
ik qayāmat hai bapā
tang hai terī zamīñ
koī kis jā ho makīñ
tū sahārā hai ḳhudā
bas bharosā hai tirā
haal hai un kā burā
sun yatīmoñ kī sadā
beva maaoñ kī qasam
saḳht jānoñ kī qasam
ye shahīdān-e-vafā
jin kā ghar-bār jalā
kabhī muḳhtār ye the
aaj majbūr hue
paa.e ab jā ke kahāñ
dil-e-'nāshād' amaañ
dil hai ranjur yahan
hai ye dastur yahan
rahraw aate hain yahan
lauTe jate hain yahan
na koi pas-e-wafa
aur na ehsas-e-wafa
karte hain jaur-o-jafa
zulm hai in ko rawa
kuchh bharosa hi nahin
koi apna hi nahin
ajnabi ban ke rahen
har jafa dil pe sahen
roz bedad nai
roz uftad nai
kya karen haal bayan
bekasi ka hai saman
haal-e-dil kuchh na kahen
roz bedad sahen
har taraf aah-o-buka
ek qayamat hai bapa
tang hai teri zamin
koi kis ja ho makin
tu sahaara hai KHuda
bas bharosa hai tera
haal hai un ka bura
sun yatimon ki sada
bewa maon ki qasam
saKHt jaanon ki qasam
ye shahidan-e-wafa
jin ka ghar-bar jala
kabhi muKHtar ye the
aaj majbur hue
pae ab ja ke kahan
dil-e-'nashad' aman
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.