Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pas hue

Hasrat Jaipuri

pas hue

Hasrat Jaipuri

MORE BYHasrat Jaipuri

    jī-jān se ham ne mehnat aur avval-number paas hue

    schōl se ham ne ulfat ham avval-number paas hue

    picture bhī nahīñ dekhī ham ne hokey bhī nahīñ khelī ham ne

    le le ke kitābeñ paḌhte rahe aur ḳhuub paḌhā.ī ham ne

    ustād ham ne izzat ham avval-number paas hue

    jī-jān se ham ne mehnat ham avval-number paas hue

    din-rāt jo khelā karte the vo bhaa.ī hamāre fail hue

    din-rāt jo ghūmā karte the vo bhaa.ī hamāre fail hue

    us khel se ham ne nafrat ham avval-number paas hue

    jī-jān se ham ne mehnat ham avval-number paas hue

    ab pyaar se ammī kahtī haiñ ik suiT tumheñ banvā deñge

    ab pyaar se paapā kahte haiñ dillī se khilaunā deñge

    māñ-bāp ham ne ḳhidmat ham avval-number paas hue

    jī-jān se ham ne mehnat ham avval-number paas hue

    har saal raheñge ham avval aur aage baḌhte jā.eñge

    is desh ke nanhe munne haiñ ham apne hunar dikhlā.eñge

    kyā baat hamārī himmat ham avval-number paas hue

    jī-jān se ham ne mehnat ham avval-number paas hue

    ji-jaan se hum ne mehnat ki aur awwal-number pas hue

    school se hum ne ulfat ki hum awwal-number pas hue

    picture bhi nahin dekhi hum ne hokey bhi nahin kheli hum ne

    le le ke kitaben paDhte rahe aur KHub paDhai ki hum ne

    ustad ki hum ne izzat ki hum awwal-number pas hue

    ji-jaan se hum ne mehnat ki hum awwal-number pas hue

    din-raat jo khela karte the wo bhai hamare fail hue

    din-raat jo ghuma karte the wo bhai hamare fail hue

    us khel se hum ne nafrat ki hum awwal-number pas hue

    ji-jaan se hum ne mehnat ki hum awwal-number pas hue

    ab pyar se ammi kahti hain ek suiT tumhein banwa denge

    ab pyar se papa kahte hain dilli se khilauna la denge

    man-bap ki hum ne KHidmat ki hum awwal-number pas hue

    ji-jaan se hum ne mehnat ki hum awwal-number pas hue

    har sal rahenge hum awwal aur aage baDhte jaenge

    is desh ke nanhe munne hain hum apne hunar dikhlaenge

    kya baat hamari himmat ki hum awwal-number pas hue

    ji-jaan se hum ne mehnat ki hum awwal-number pas hue

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now