pas ke shahr mein fasad
Interesting Fact
Volume: 193, February-March, 1994
paas ke shahr se curfew kī be-āvāz chaap
dhīre dhīre
mire shahr kī galiyoñ aur chaurāhoñ tak aa pahuñchī hai
raat kī tarah ḳhauf phailā hai
darvāze khiḌkiyāñ chup
kutte bhī chup
hirāsāñ duur duur tak saḌkoñ ko takte haiñ
phir rote haiñ
paas ke shahr meñ na.are ubharte haiñ
ek hī saath jaise Dher saare bakroñ kī gardanoñ pe
dhār-dār chāqū tairte haiñ
peḌoñ pe chāñdnī september kī sahmī hai
tanhā parinde ke hiirā jaise dil meñ bille kī lahū lahū aañkh Duub kar ubhartī
sannāTā zamīñ kā ākāsh se jā milā hai
ghoḌoñ kī aag ugātī Top paas ke shahr meñ aur
apne shahr meñ aa gayā betāl petrol-pumpoñ ke paas khaḌā hai
raat kī taraf ḳhauf phailā hai sāñkal hilātā hai
chāñdnī september kī peḌoñ pe rotī hai
bille kī lahū lahū aañkh aur parinda
bechāra
pas ke shahr se curfew ki be-awaz chap
dhire dhire
mere shahr ki galiyon aur chaurahon tak aa pahunchi hai
raat ki tarah KHauf phaila hai
darwaze khiDkiyan chup
kutte bhi chup
hirasan dur dur tak saDkon ko takte hain
phir rote hain
pas ke shahr mein nare ubharte hain
ek hi sath jaise Dher sare bakron ki gardanon pe
dhaar-dar chaqu tairte hain
peDon pe chandni september ki sahmi hai
tanha parinde ke hira jaise dil mein bille ki lahu lahu aankh Dub kar ubharti
sannaTa zamin ka aakash se ja mila hai
ghoDon ki aag ugati Top pas ke shahr mein aur
apne shahr mein aa gaya betal petrol-pumpon ke pas khaDa hai
raat ki taraf KHauf phaila hai sankal hilata hai
chandni september ki peDon pe roti hai
bille ki lahu lahu aankh aur parinda
bechaara
- Book : Shabkhoon (Urdu Monthly) (Pg. 702)
- Author : Shamsur Rahman Faruqi
- Publication : Shabkhoon Po. Box No.13, 313 rani Mandi Allahabad (June December 2005áIssue No. 293 To 299âPart II)
- Edition : June December 2005áIssue No. 293 To 299âPart II
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.