pasban-e-haram-e-gul ki tarah
ye fitrat kī tajallī hai
ki kirdār kī shafaq
ki ravish-ravish sahrā-ba-sahrā
ek saaya sā siyāh sā
benām-o-nishāñ sā
surḳh-rūī kī ḳhvāhish-e-siyāh ke baġhair
zar-pairahanī kī garmī-e-tam’ ke baġhair
apne siine meñ chhupā.e
dard kī aag
taḌap kī raushnī
zāhid-nafas masīhā-sifat
rāhib-e-shab-zinda-dār kī tarah
chuntā rahtā hai rāt-bhar
muskurātī kaliyāñ mahakte phuul
ujāloñ kī uñgliyoñ se
ye fitrat ki tajalli hai
ki kirdar ki shafaq
ki rawish-rawish sahra-ba-sahra
ek saya sa siyah sa
benam-o-nishan sa
surKH-rui ki KHwahish-e-siyah ke baghair
zar-pairahani ki garmi-e-tam’ ke baghair
apne sine mein chhupae
dard ki aag
taDap ki raushni
zahid-nafas masiha-sifat
rahib-e-shab-zinda-dar ki tarah
chunta rahta hai raat-bhar
muskuraati kaliyan mahakte phul
ujalon ki ungliyon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.