pasban-e-urdu
Interesting Fact
(Dedicated to Abdul Qawi Desnavi, Former President, Department of Urdu, Saifia College, Bhopal)
kaheñ na kyuuñ ai qavī tujhe ham ba-sidq-e-dil pāsbān-e-urdu
banā hai terī hī sa.ī-o-kāvish se saifiya gulsitān-e-urdu
nafas nafas meñ tire yaqīnan basī hai bū-e-zabān-e-urdu
tirī navā hai navā-e-urdu tirā bayāñ hai bayān-e-urdu
dikhā.īñ bhopal ko tire hī junūñ ne jahd-o-amal kī rāheñ
vagarna māyūs ho chuke the yahāñ ke chāra-garān-e-urdu
vajūd terā sabhī ke haq meñ hai chashma-o-ābshār-o-dariyā
bujhāte haiñ pyaas apnī apnī tujhī se sab tishnigān-e-urdu
ise zamāna-shanāsī terī na ham kaheñge to kyā kaheñge
banā diyā 'saifiya' ko tū ne jo ek dārul-amān-e-urdu
tujhī se shahr-e-ġhazal ko iqbāliyāt kī manzileñ milī haiñ
tire hī azm-o-amal se hai gāmzan yahāñ kārvān-e-urdu
tirā ujālā miTā rahā hai shab-e-jahālat kī tīrgī ko
chamak rahā hai tū ban ke bhopal meñ mah-e-āsmān-e-urdu
khilā.e haiñ shāḳh shāḳh tū ne yahāñ pe nutq-o-navā ke ġhunche
ġhalat nahīñ hai jo kah rahe haiñ sabhī tujhe ḳhush-bayān-e-urdu
tire azā.em kī istaqāmat pe sar-ba-kaf haiñ harīf tere
ḳhushā ki tere javān hāthoñ meñ aaj bhī hai kamān-e-urdu
sad-āfrīñ terī himmatoñ par sad-āfrīñ terī jur.atoñ par
sunā.ī hai bazm-e-ġhair meñ tū ne bārhā dāstān-e-urdu
ye kam nahīñ hai ki mo'tarif hai tirī basīrat kā ye zamāna
rahā hai sad.hā ḳhulūs-e-dil se tū shāmil-e-āshiqān-e-urdu
ravāñ haiñ taqrīr aur tahrīr se tirī āgahī ke chashme
tirā qalam hai vaqār-e-urdu tirī zabāñ tarjumān-e-urdu
mujalla 'ġhālib' pe kar ke shaa.e kiyā hai be-shak kamāl tū ne
jahān-e-ilm-o-adab ke haq meñ hai ḳhuub ye armuġhān-e-urdu
na.e na.e gul khilā rahā hai adab meñ tere qalam kā jaadū
tirī farāsat ke mo'tarif haiñ tamām-tar nukta-dān-e-urdu
agarche rāhoñ meñ terī haa.il hue haiñ dīvār ban ke aksar
magar tire azm-o-hausla se ḳhajil haiñ sab hāsidān-e-urdu
ye terī koshish hifāzatoñ kī ye terā jazba salāmtī kā
na ho to urdu ko bech khā.eñ zarā meñ ye tājirān-e-urdu
misāl-e-ḳhurshīd tū ne baḳhshī hai raushnī jin ko ilm-o-fan kī
chamak rahe haiñ adab ke gardūñ pe ban ke vo aḳhtarān-e-urdu
jo tere fan ke amiin ban kar fazā-e-ālam pa chhā ga.e haiñ
baḌī aqīdat se dekhte haiñ tujhe vo shā.istagān-e-urdu
ujālā karte raheñge yūñhī charāġh ban kar rah-e-talab meñ
har ik qadam par jo tū ne chhoḌe haiñ jagmagāte nishān-e-urdu
kahā hai tū ne bhī bārhā ḳhud yahīñ palī hai yahīñ baḌhī hai
kisī zabāñ kī harīf hargiz yahāñ nahīñ hai zabān-e-urdu
tire jihād-o-amal ke sadqe yaqīn hai ai qavī ye ham ko
isī tarah tū banā rahegā yahāñ sadā pāsbān-e-urdu
kahen na kyun ai qawi tujhe hum ba-sidq-e-dil pasban-e-urdu
bana hai teri hi sai-o-kawish se saifiya gulsitan-e-urdu
nafas nafas mein tere yaqinan basi hai bu-e-zaban-e-urdu
teri nawa hai nawa-e-urdu tera bayan hai bayan-e-urdu
dikhain bhopal ko tere hi junun ne jahd-o-amal ki rahen
wagarna mayus ho chuke the yahan ke chaara-garan-e-urdu
wajud tera sabhi ke haq mein hai chashma-o-abshaar-o-dariya
bujhate hain pyas apni apni tujhi se sab tishnigan-e-urdu
ise zamana-shanasi teri na hum kahenge to kya kahenge
bana diya 'saifiya' ko tu ne jo ek darul-aman-e-urdu
tujhi se shahr-e-ghazal ko iqbaaliyat ki manzilen mili hain
tere hi azm-o-amal se hai gamzan yahan karwan-e-urdu
tera ujala miTa raha hai shab-e-jahaalat ki tirgi ko
chamak raha hai tu ban ke bhopal mein mah-e-asman-e-urdu
khilae hain shaKH shaKH tu ne yahan pe nutq-o-nawa ke ghunche
ghalat nahin hai jo kah rahe hain sabhi tujhe KHush-bayan-e-urdu
tere azaem ki istaqamat pe sar-ba-kaf hain harif tere
KHusha ki tere jawan hathon mein aaj bhi hai kaman-e-urdu
sad-afrin teri himmaton par sad-afrin teri juraton par
sunai hai bazm-e-ghair mein tu ne barha dastan-e-urdu
ye kam nahin hai ki mo'tarif hai teri basirat ka ye zamana
raha hai sadha KHulus-e-dil se tu shamil-e-ashiqan-e-urdu
rawan hain taqrir aur tahrir se teri aagahi ke chashme
tera qalam hai waqar-e-urdu teri zaban tarjuman-e-urdu
mujalla 'ghaalib' pe kar ke shae kiya hai be-shak kamal tu ne
jahan-e-ilm-o-adab ke haq mein hai KHub ye armughan-e-urdu
nae nae gul khila raha hai adab mein tere qalam ka jadu
teri farasat ke mo'tarif hain tamam-tar nukta-dan-e-urdu
agarche rahon mein teri hail hue hain diwar ban ke aksar
magar tere azm-o-hausla se KHajil hain sab hasidan-e-urdu
ye teri koshish hifazaton ki ye tera jazba salamti ka
na ho to urdu ko bech khaen zara mein ye tajiran-e-urdu
misal-e-KHurshid tu ne baKHshi hai raushni jin ko ilm-o-fan ki
chamak rahe hain adab ke gardun pe ban ke wo aKHtaran-e-urdu
jo tere fan ke amin ban kar faza-e-alam pa chha gae hain
baDi aqidat se dekhte hain tujhe wo shaistagan-e-urdu
ujala karte rahenge yunhi charagh ban kar rah-e-talab mein
har ek qadam par jo tu ne chhoDe hain jagmagate nishan-e-urdu
kaha hai tu ne bhi barha KHud yahin pali hai yahin baDhi hai
kisi zaban ki harif hargiz yahan nahin hai zaban-e-urdu
tere jihad-o-amal ke sadqe yaqin hai ai qawi ye hum ko
isi tarah tu bana rahega yahan sada pasban-e-urdu
- Book : Raqs-e-Qalam (Pg. 53)
- Author : Rehbar Jaunpuri
- Publication : Mohammad Tariq and Aabshar Ahmad, Shahwar Ahmad (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.