patal zamin aasman
kahānī ke saare parinde
bahut duur shāyad ufuq meñ
kahīñ munjamid ho ga.e haiñ
shajar zard pattoñ kī tasvīr ban kar
alāmat kī tahrīr ban kar
bikharne lagā hai
kisī jhiil ke ā.īne meñ vo mah-vash
badan ke kisī zāviye se nikalne kī ḳhvāhish meñ
palkeñ uThā.e hue dekhtī rah ga.ī hai
parindoñ kī mānind maiñ bhī yahāñ thā
magar ab nahīñ huuñ
ki hone kī ḳhvāhish ne shāyad mujhe bhī
ḳhalā meñ muallaq sitāroñ kī mānind gum kar diyā hai
na ab mausamoñ ke sitam haiñ
na ab raat kī sard āmezishoñ meñ ThiThurne kī rāhat hī āvāz dete haiñ mujh ko
na patthar kī mānind hāthoñ meñ sūraj
rag-o-pai meñ mere lahū kī harārat banegā
zamāna koī shobada-gar
mujhe duur hī duur le jā rahā hai
ki maiñ nīm-vā ġhaar kī sīḌhiyoñ meñ utarne lagā huuñ
charāġh-e-tilismāt milne se pahle
zamīn ne mujhe apnī āġhosh meñ le liyā hai
duā bad-duā ban ga.ī hai
ki har lafz ke dā.ere se lahū ris rahā hai
kisī sānehe ne zamīñ se falak kī taraf jaate jaate
mujhe bhī sitāroñ meñ gum kar diyā hai
ki maiñ apne saa.e kī dahlīz par
lazzat-e-āshnā.ī meñ khoyā huā ajnabī huuñ
kahani ke sare parinde
bahut dur shayad ufuq mein
kahin munjamid ho gae hain
shajar zard patton ki taswir ban kar
alamat ki tahrir ban kar
bikharne laga hai
kisi jhil ke aaine mein wo mah-wash
badan ke kisi zawiye se nikalne ki KHwahish mein
palken uThae hue dekhti rah gai hai
parindon ki manind main bhi yahan tha
magar ab nahin hun
ki hone ki KHwahish ne shayad mujhe bhi
KHala mein muallaq sitaron ki manind gum kar diya hai
na ab mausamon ke sitam hain
na ab raat ki sard aamezishon mein ThiThurne ki rahat hi aawaz dete hain mujh ko
na patthar ki manind hathon mein suraj
rag-o-pai mein mere lahu ki hararat banega
zamana koi shobada-gar
mujhe dur hi dur le ja raha hai
ki main nim-wa ghaar ki siDhiyon mein utarne laga hun
charagh-e-tilismat milne se pahle
zamin ne mujhe apni aaghosh mein le liya hai
dua bad-dua ban gai hai
ki har lafz ke daere se lahu ris raha hai
kisi sanehe ne zamin se falak ki taraf jate jate
mujhe bhi sitaron mein gum kar diya hai
ki main apne sae ki dahliz par
lazzat-e-ashnai mein khoya hua ajnabi hun
- Book : siip-volume-46 (Pg. 142)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.