pachhtawa
dar-o-dīvār pe hijrat ke nishāñ dekh aa.eñ
aao ham apne buzurgoñ ke makāñ dekh aa.eñ
apnī qismat meñ likhe haiñ jo virāsat kī tarah
aao ik baar vo zaḳhm-e-dil-o-jāñ dekh aa.eñ
aao bhīgī huī āñkhoñ se paḌheñ nauha-e-dil
aao bikhre hue rishtoñ kā ziyāñ dekh aa.eñ
jis se Takrā ke gire the kabhī arbāb-e-ḳhirad
aao nazdīk se vo sang-e-girāñ dekh aa.eñ
vaqt jaate hue kyā likh gayā peshānī par
aao āshuftagī-e-ahd-e-ravāñ dekh aa.eñ
TuuTā TuuTā huā dil le ke phireñ galiyoñ meñ
kachchī miTTī ke khilaunoñ kī dukāñ dekh aa.eñ
raushnī ke kahīñ āsār to baaqī hoñge
aao pighlī huī sham.oñ kā dhuāñ dekh aa.eñ
jin daraḳhtoñ ke tale raqs-e-sabā hotā thā
sūkhe pattoñ kā barasnā bhī vahāñ dekh aa.eñ
uḌ rahe hoñge kahīñ jhunD abābīloñ ke
aao sunsān darīchoñ kā samāñ dekh aa.eñ
ab farishtoñ ke sivā koī na aatā hogā
kaun detā hai ḳharābe meñ azaañ dekh aa.eñ
muddatoñ baa'd muhājir kī tarah aa.e haiñ
ruuTh jaa.e na khañDar aao miyāñ dekh aa.eñ
dar-o-diwar pe hijrat ke nishan dekh aaen
aao hum apne buzurgon ke makan dekh aaen
apni qismat mein likhe hain jo wirasat ki tarah
aao ek bar wo zaKHm-e-dil-o-jaan dekh aaen
aao bhigi hui aankhon se paDhen nauha-e-dil
aao bikhre hue rishton ka ziyan dekh aaen
jis se Takra ke gire the kabhi arbab-e-KHirad
aao nazdik se wo sang-e-giran dekh aaen
waqt jate hue kya likh gaya peshani par
aao aashuftagi-e-ahd-e-rawan dekh aaen
TuTa TuTa hua dil le ke phiren galiyon mein
kachchi miTTi ke khilaunon ki dukan dekh aaen
raushni ke kahin aasar to baqi honge
aao pighli hui shamon ka dhuan dekh aaen
jin daraKHton ke tale raqs-e-saba hota tha
sukhe patton ka barasna bhi wahan dekh aaen
uD rahe honge kahin jhunD ababilon ke
aao sunsan darichon ka saman dekh aaen
ab farishton ke siwa koi na aata hoga
kaun deta hai KHarabe mein azan dekh aaen
muddaton ba'd muhajir ki tarah aae hain
ruTh jae na khanDar aao miyan dekh aaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.