pachhtawa
kaash tumheñ na dekhā hotā
dil meñ ġham ke phuul na khilte
hoñToñ pe fariyād na hotī
tanhā.ī ke dard na milte
apnī hastī baar na hotī
marne kā armān na hotā
saañs bhī ik talvār na hotī
kaash tumheñ na dekhā hotā
aaj itne majbūr na hote
sab logoñ se ulfat karte
aur ḳhudā se duur na hote
kaash tumheñ na dekhā hotā
kash tumhein na dekha hota
dil mein gham ke phul na khilte
honTon pe fariyaad na hoti
tanhai ke dard na milte
apni hasti bar na hoti
marne ka arman na hota
sans bhi ek talwar na hoti
kash tumhein na dekha hota
aaj itne majbur na hote
sab logon se ulfat karte
aur KHuda se dur na hote
kash tumhein na dekha hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.