pachhtawa
maiñ ne dekhe haiñ vo marhale ki jahāñ
zindagī maut kā bāhamī fāsla
do qadam bhī na thā
aise lamhoñ kī saarī aziyyat ko maiñ
kis qadar hausloñ se sañbhāle rahā
jab talak mujh meñ jiine ke āzār se munsalik
saañs lene kī ḳhvāhish rahī
merī fikr-o-nazar kī sabhī kāvisheñ
tīra-o-tār maujoñ se laḌtī rahīñ
aur maiñ maut kī sīḌhiyoñ pe khaḌā
muskurātā rahā
ab magar sochtā huuñ ki ai jān-e-jāñ
jism kī saarī āsā.isheñ be-sifat
bazm kī saarī sar-mastiyāñ bad-vaz.a
zindagī maut kā bāhamī fāsla
do qadam hī to thā
lauT aayā huuñ kyoñ
main ne dekhe hain wo marhale ki jahan
zindagi maut ka bahami fasla
do qadam bhi na tha
aise lamhon ki sari aziyyat ko main
kis qadar hauslon se sanbhaale raha
jab talak mujh mein jine ke aazar se munsalik
sans lene ki KHwahish rahi
meri fikr-o-nazar ki sabhi kawishen
tira-o-tar maujon se laDti rahin
aur main maut ki siDhiyon pe khaDa
muskuraata raha
ab magar sochta hun ki ai jaan-e-jaan
jism ki sari aasaishen be-sifat
bazm ki sari sar-mastiyan bad-waza
zindagi maut ka bahami fasla
do qadam hi to tha
lauT aaya hun kyon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.