pachhtawa
tum mire qatl ke baad
apnī mahfil to sajāoge magar
mujh ko nahīñ pāoge
phir kise dekh ke sharmāoge
ye bhī sochā ki tumheñ mere baad
raat ke pichhle pahar
kaun sadā.eñ degā
tum ko jiine kī duā.eñ degā
jab merī yaad satā.egī tumheñ
niiñd na aa.egī tumheñ
tum na pā kar mujhe pachhtāoge
apne hī aap se sharmāoge
tum mere qatl ke baad
apni mahfil to sajaoge magar
mujh ko nahin paoge
phir kise dekh ke sharmaoge
ye bhi socha ki tumhein mere baad
raat ke pichhle pahar
kaun sadaen dega
tum ko jine ki duaen dega
jab meri yaad sataegi tumhein
nind na aaegi tumhein
tum na pa kar mujhe pachhtaoge
apne hi aap se sharmaoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.