paDaw
sayyadoñ kī bastī meñ
ek gahrī ḳhāmoshī
sansanātī phirtī hai
āgahī kā harf-e-ġham
sar jhukā.e rahtā hai
mo'atabar nahīñ rahtā
rāstoñ meñ har jānib
azm aur azmat kī
gard uḌtī rahtī hai
bārisheñ nahīñ hotīñ
dhuup kī tamāzat se
raah ke shajar saare
sūkhte hī jaate haiñ
sabz-rū nahīñ rahte
aam ke daraḳhtoñ par
baur bhī nahīñ aatā
jāmunoñ ke peḌoñ par
koyaleñ nahīñ ātīñ
sayyadoñ kī bastī meñ
masjidoñ ke mīnāre
bad-numā shikasta haiñ
gaah gaah vahshat hai
be-nishān galiyoñ meñ
khelte hue bachche
ab nazar nahīñ aate
maa.eñ bhī duā dene
dar talak nahīñ ātīñ
roz aane vaalā vo
ek jo gadāgar thā
ab kabhī nahīñ aatā
pyaas jo bujhātā thā
raah ke musāfir kī
chāh-e-āb thā jo ek
ḳhushk ho gayā kab kā
ghar ke band darvāze
sogvār rahte haiñ
dastakeñ nahīñ hotīñ
chaukhaToñ pe dīmak kī
surma.ī lakīreñ haiñ
zang se bharī kunDī
makḌiyoñ ke jāloñ se
bhar chukī hai āḳhir-kār
dukh ke taaq par har dam
nā-tavāñ charāġhoñ kī
zard lau lapaktī hai
ġham-zada darīchoñ se
be-hijāb tanhā.ī
reñgtī nikaltī hai
dil-zada makīnoñ ke
saath saath rahtī hai
sayyadoñ kī bastī meñ
shāmiyoñ ke lashkar kā
mustaqil paḌāv hai
sayyadon ki basti mein
ek gahri KHamoshi
sansanati phirti hai
aagahi ka harf-e-gham
sar jhukae rahta hai
mo'atabar nahin rahta
raston mein har jaanib
azm aur azmat ki
gard uDti rahti hai
barishen nahin hotin
dhup ki tamazat se
rah ke shajar sare
sukhte hi jate hain
sabz-ru nahin rahte
aam ke daraKHton par
baur bhi nahin aata
jamunon ke peDon par
koyalen nahin aatin
sayyadon ki basti mein
masjidon ke minare
bad-numa shikasta hain
gah gah wahshat hai
be-nishan galiyon mein
khelte hue bachche
ab nazar nahin aate
maen bhi dua dene
dar talak nahin aatin
roz aane wala wo
ek jo gadagar tha
ab kabhi nahin aata
pyas jo bujhata tha
rah ke musafir ki
chah-e-ab tha jo ek
KHushk ho gaya kab ka
ghar ke band darwaze
sogwar rahte hain
dastaken nahin hotin
chaukhaTon pe dimak ki
surmai lakiren hain
zang se bhari kunDi
makDiyon ke jalon se
bhar chuki hai aaKHir-kar
dukh ke taq par har dam
na-tawan charaghon ki
zard lau lapakti hai
gham-zada darichon se
be-hijab tanhai
rengti nikalti hai
dil-zada makinon ke
sath sath rahti hai
sayyadon ki basti mein
shamiyon ke lashkar ka
mustaqil paDaw hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.