paDosi
ai aish-mahal ke rahne vaalo
dekho to kabhī nazar uThā kar
haal apne paḌosiyoñ kā bhī kuchh
TuuTe hue jhoñpaḌoñ ke andar
insān kī shakl meñ bahā.im
aulād-e-bashar giddhoñ se bad-tar
nā-chār-o-tabāh-o-zār-o-bīmār
rusvā-o-zalīl-o-ḳhvār-o-abtar
fāqoñ kī hai jin ke ruḳh pe zardī
fikroñ se jo ho rahe haiñ lāġhar
kapḌā nahīñ jin ke tan pe sābit
chādar hai na jin ke paas bistar
sūkhī huī roTiyāñ bhī jin ko
miltī nahīñ do do vaqt aksar
dekhī nahīñ amn-o-āfiyat kī
sūrat bhī jinhoñ ne zindagī-bhar
qismat meñ nahīñ hai jin kī ārām
kolhū kā jo bail haiñ sarāsar
lekin tumheñ ġhāliban ye ik baat
ma.alūm nahīñ hai banda-parvar
sadqa hai unhīñ kī jūtiyoñ kā
saarī ye tumhārī shaukat-o-farr
gar pher leñ ye nazar kuchh apnī
tum ko na rahe ḳhabar kuchh apnī
ai aish-mahal ke rahne walo
dekho to kabhi nazar uTha kar
haal apne paDosiyon ka bhi kuchh
TuTe hue jhonpaDon ke andar
insan ki shakl mein bahaim
aulad-e-bashar giddhon se bad-tar
na-chaar-o-tabah-o-zar-o-bimar
ruswa-o-zalil-o-KHwar-o-abtar
faqon ki hai jin ke ruKH pe zardi
fikron se jo ho rahe hain laghar
kapDa nahin jin ke tan pe sabit
chadar hai na jin ke pas bistar
sukhi hui roTiyan bhi jin ko
milti nahin do do waqt aksar
dekhi nahin amn-o-afiyat ki
surat bhi jinhon ne zindagi-bhar
qismat mein nahin hai jin ki aaram
kolhu ka jo bail hain sarasar
lekin tumhein ghaaliban ye ek baat
malum nahin hai banda-parwar
sadqa hai unhin ki jutiyon ka
sari ye tumhaari shaukat-o-farr
gar pher len ye nazar kuchh apni
tum ko na rahe KHabar kuchh apni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.