pagDanDi
chalte hue is pagDanDī par
jab sāmne peḌ aa jaate the
hotā hai gumāñ had aa pahuñchī
kahte the qadam ab lauT chalo
ab lauT chalo us raah pe jis se aa.e the
kuchh duur pe jā kar lekin ye muḌ jaatī thī
peḌoñ kī safoñ meñ tezī se ghus jaatī thī
bikhre hue patte os meñ tar
chhantī huī kirnoñ kā sonā
chup-chāp fazāoñ kī ḳhushbū
nāgāh kisī taa.ir ke paroñ kī ghabrāhaT
ham aa ga.e in maidānoñ meñ
phaile hue maidāñ aur ufuq kī pahnā.ī
ab aao yahāñ se ghar loTeñ
chalte hue is pagDanDī par
chalte hue is pagDanDi par
jab samne peD aa jate the
hota hai guman had aa pahunchi
kahte the qadam ab lauT chalo
ab lauT chalo us rah pe jis se aae the
kuchh dur pe ja kar lekin ye muD jati thi
peDon ki safon mein tezi se ghus jati thi
bikhre hue patte os mein tar
chhanti hui kirnon ka sona
chup-chap fazaon ki KHushbu
nagah kisi tair ke paron ki ghabrahaT
hum aa gae in maidanon mein
phaile hue maidan aur ufuq ki pahnai
ab aao yahan se ghar loTen
chalte hue is pagDanDi par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.