pahaD
Interesting Fact
(Narkanda, while travelling to Shimla)
jaatī huī dhuup meñ
baiThe batiyāte
ye pahāḌī log
mujhe lagtā hai apne dukhoñ ko
sek sek kar
sukhoñ meñ badal rahe haiñ
gungunāte hue
jo dekhte-dekhte chhīj jā.eñge
saraktī huī dhuup kī tarah
kyā sukh ko
dhuup ke TukḌoñ kī tarah
thoḌī der tak
aur Thahrāyā nahīñ jā saktā
sochte-sochte maiñ chaltā huuñ
chal detā huuñ maiñ
in chhappar Tīn-dār Dhalvāñ chhatoñ kī taraf
jahāñ se dhuāñ uTh rahā hai
thakā-māñda dhuāñ
dukh bhī kitne ruup dhartā hai
sukhoñ kī
nannhī-nannhī puḌiyāoñ ke biich
jati hui dhup mein
baiThe batiyate
ye pahaDi log
mujhe lagta hai apne dukhon ko
sek sek kar
sukhon mein badal rahe hain
gungunate hue
jo dekhte-dekhte chhij jaenge
sarakti hui dhup ki tarah
kya sukh ko
dhup ke TukDon ki tarah
thoDi der tak
aur Thahraya nahin ja sakta
sochte-sochte main chalta hun
chal deta hun main
in chhappar Tin-dar Dhalwan chhaton ki taraf
jahan se dhuan uTh raha hai
thaka-manda dhuan
dukh bhi kitne rup dharta hai
sukhon ki
nannhi-nannhi puDiyaon ke bich
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.