pahchan
vo lamha
ā.īnoñ kā dariyā
jis meñ tum ne apnā aap pahchānā
jis meñ tum ne jaanā
ki apne vajūd meñ qaid tum mahz sarāb ho
ki sheroñ meñ mahfūz ho
to tum āvāz nahīñ bāzgasht nahīñ
mahfil āvāzoñ irādoñ kā ḳhvāb ho
is dānish-gāh ke bādaloñ meñ kauñde bhare haiñ
mere hāthoñ meñ haath do
mere hāthoñ meñ haath do
siyāh sho.ale tum se kahte haiñ chalo
ham na.e baazū
na.ī buland āvāzoñ ke saath chaleñ
vāpas
us vatan ko jis kā farsh har roz
na.e lahū se dhoyā gayā hai
shīshoñ kī zabāneñ tum se kahtī haiñ
ab tum ik na.ī aag ke
aañsū kī tarah
zartār ho
wo lamha
aainon ka dariya
jis mein tum ne apna aap pahchana
jis mein tum ne jaana
ki apne wajud mein qaid tum mahz sarab ho
ki sheron mein mahfuz ho
to tum aawaz nahin bazgasht nahin
mahfil aawazon iradon ka KHwab ho
is danish-gah ke baadalon mein kaunde bhare hain
mere hathon mein hath do
mere hathon mein hath do
siyah shoale tum se kahte hain chalo
hum nae bazu
nai buland aawazon ke sath chalen
wapas
us watan ko jis ka farsh har roz
nae lahu se dhoya gaya hai
shishon ki zabanen tum se kahti hain
ab tum ek nai aag ke
aansu ki tarah
zartar ho
- Book : saugaat-2-3 (Pg. 117)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.