pahchan
kisī bhī moḌ pe ruk kar jo pīchhe dekhā hai
to ek yaad milī āñsuoñ meñ bhīgī huī
to ek raat milī sogvār sahmī huī
to ek ḳhvāb milā dar-ba-dar bhaTaktā huā
aur ek jism milā jis ke sar ke bāloñ meñ
guzarte vaqt ne lamhoñ kī raakh Daalī hai
vo jism merā nahīñ hai to phir vo kis kā hai
kisi bhi moD pe ruk kar jo pichhe dekha hai
to ek yaad mili aansuon mein bhigi hui
to ek raat mili sogwar sahmi hui
to ek KHwab mila dar-ba-dar bhaTakta hua
aur ek jism mila jis ke sar ke baalon mein
guzarte waqt ne lamhon ki rakh Dali hai
wo jism mera nahin hai to phir wo kis ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.