paheliyan
paheliyāñ bujhā.ī haiñ kabhī
TeḌhī meḌhī
uljhī suljhī
ulTī sīdhī
jo kahtī haiñ
vo hotā nahīñ
jo hotā hai
vo sunā nahīñ
uljhe hue dhāge se
der tak sirā nahīñ miltā
kabhī jhaT se sulajh jaate haiñ
kuchh kabhī nahīñ sulujhte
kabhī koī sirā khīñcho
to aur ulajh jaate haiñ
vaqt lagtā hai
baḌā sabr lagtā hai
aao suljhā.eñ
koī pahelī
bahut paheliyāñ haiñ yahāñ
saat arab se bhī ziyāda
paheliyan bujhai hain kabhi
TeDhi meDhi
uljhi suljhi
ulTi sidhi
jo kahti hain
wo hota nahin
jo hota hai
wo suna nahin
uljhe hue dhage se
der tak sira nahin milta
kabhi jhaT se sulajh jate hain
kuchh kabhi nahin sulujhte
kabhi koi sira khincho
to aur ulajh jate hain
waqt lagta hai
baDa sabr lagta hai
aao suljhaen
koi paheli
bahut paheliyan hain yahan
sat arab se bhi ziyaada
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.