pahla paTh
bachcho pahlā paaTh yahī hai
sab ne ye ik baat kahī hai
sub.h savere ham uTh jaa.eñ
manjan karke ḳhuub nahā.eñ
kaam ho pahlā ye rozāna
pakshiyoñ ko Dāleñ daana
chyūñTī ke bil par ho aaTā
kabhī nahīñ aa.egā ghāTā
paudoñ ko bhī de deñ paanī
phir kheleñ ham rājā-rānī
aao pūjā-pāTh kareñ ham
aur kahīñ na kaan dhareñ ham
lo schōl ko ab hai jaanā
khā leñ halkā sā ham khānā
chalo chaleñ ab bāñdheñ basta
phir dekheñ schōl kā rasta
chit lagā kar paḌhte jaa.eñ
sīḌhī sīḌhī chaḌhte jaa.eñ
paḌh likh kar vidvān hai banñā
desh kī apne shaan hai banñā
achchhe achchhe kaam kareñge
jag meñ ūñchā naam kareñge
bachcho pahla paTh yahi hai
sab ne ye ek baat kahi hai
subh sawere hum uTh jaen
manjan karke KHub nahaen
kaam ho pahla ye rozana
pakshiyon ko Dalen dana
chyunTi ke bil par ho aaTa
kabhi nahin aaega ghaTa
paudon ko bhi de den pani
phir khelen hum raja-rani
aao puja-paTh karen hum
aur kahin na kan dharen hum
lo school ko ab hai jaana
kha len halka sa hum khana
chalo chalen ab bandhen basta
phir dekhen school ka rasta
chit laga kar paDhte jaen
siDhi siDhi chaDhte jaen
paDh likh kar widwan hai banna
desh ki apne shan hai banna
achchhe achchhe kaam karenge
jag mein uncha nam karenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.