pahla patthar
maiñ tire shahar meñ phirtā hī rahā sargardāñ
shāh-rāhoñ ke har ik moḌ pe hairāñ hairāñ
ābla-pā jigar afgār karāñ tā-ba-karāñ
isī ummīd pe shāyad ki koī pahchāne
justujū ek bagūle ke anāsir chhāne
shauq-e-rusvā kī pazīrā.ī ke huuñ afsāne
lekin is shahr-e-sitam-pesha meñ kuchh bhī na huā
mirī jānib koī gul-posh darīcha na khulā
kisī āñchal kisī badlī kī na umDī chhāyā
na koī dast-e-sabā thā na kahīñ bū-e-habīb
bām-dar-bām thī be-mehr nigāhoñ kī salīb
har jharoke meñ thī ik shaam mah-o-ḳhur kī raqīb
sail-e-vahshat ko chhupā.e meñ guzartā hī rahā
ek be-rabt fasāna thā bikhartā hī rahā
dahna-e-vaqt rag-o-pai meñ utartā hī rahā
āḳhir ik ku-e-malāmat meñ qadam aa pahuñche
nāvak andāzoñ ke andāz meñ ġham aa pahuñche
ḳhair-maqdam ko safīrān-e-sitam aa pahuñche
pheñk kar chashm-e-farāmosh kā pahlā patthar
tū ne bas ġhurfa-e-ummīd se dekhā chhup kar
ek dīvāne pe pathrāv kā ḳhūnī manzar
sañg uThte hī rahe haath lapakte hī rahe
aañkh rotī hī rahī sharm-e-shanāsā.ī ko
kisī lailā kī taraf se ye munādī na huī
koī patthar se na maare mire saudā.ī ko
main tere shahar mein phirta hi raha sargardan
shah-rahon ke har ek moD pe hairan hairan
aabla-pa jigar afgar karan ta-ba-karan
isi ummid pe shayad ki koi pahchane
justuju ek bagule ke anasir chhane
shauq-e-ruswa ki pazirai ke hun afsane
lekin is shahr-e-sitam-pesha mein kuchh bhi na hua
meri jaanib koi gul-posh daricha na khula
kisi aanchal kisi badli ki na umDi chhaya
na koi dast-e-saba tha na kahin bu-e-habib
baam-dar-baam thi be-mehr nigahon ki salib
har jharoke mein thi ek sham mah-o-KHur ki raqib
sail-e-wahshat ko chhupae mein guzarta hi raha
ek be-rabt fasana tha bikharta hi raha
dahna-e-waqt rag-o-pai mein utarta hi raha
aaKHir ek ku-e-malamat mein qadam aa pahunche
nawak andazon ke andaz mein gham aa pahunche
KHair-maqdam ko safiran-e-sitam aa pahunche
phenk kar chashm-e-faramosh ka pahla patthar
tu ne bas ghurfa-e-ummid se dekha chhup kar
ek diwane pe pathraw ka KHuni manzar
sang uThte hi rahe hath lapakte hi rahe
aankh roti hi rahi sharm-e-shanasai ko
kisi laila ki taraf se ye munadi na hui
koi patthar se na mare mere saudai ko
- Book : Manjhii dhire chal (Pg. 98)
- Author : Musavvir Sabzwari
- Publication : Nazish Book Center (1971)
- Edition : 1971
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.