pahla qadam
koī Dar thā na fikr thī koī
maañ kī uñglī thī mere hāthoñ meñ
zindagī ke safar kā pahlā qadam
aadhe paañv se jab uThāyā thā
kitnā ḳhush thā maiñ khilkhilāyā thā
aur ik umr ho ga.ī ab to
maañ kī uñglī nahīñ hai hāthoñ meñ
haañ magar rāsta giraft meñ hai
puure paañv se chal rahā huuñ maiñ
phir bhī girne se Dar rahā huuñ maiñ
koi Dar tha na fikr thi koi
man ki ungli thi mere hathon mein
zindagi ke safar ka pahla qadam
aadhe panw se jab uThaya tha
kitna KHush tha main khilkhilaya tha
aur ek umr ho gai ab to
man ki ungli nahin hai hathon mein
han magar rasta giraft mein hai
pure panw se chal raha hun main
phir bhi girne se Dar raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.