pahle mausam ke baad
janm kā pahlā dev-mālā.ī mausam guzar gayā
aur tum ruk ga.e
āḳhirī qadam ke aage dīvār kī īñTeñ chunte chunte raat ho ga.ī
to maiñ ne sochā
jaane zanjīroñ kā tuul kaun se mausam se kaun se mausam tak hai
magar aage sirf lā-mahdūdiat hai yā phir dīvār
jis kī īñToñ kā gaarā vaqt kī miTTī se banā hai
tanhā.ī kā paanī āḳhirī qadam ke aage dīvār ko mazbūt kar detā hai
to achānak raat apnā sar uThātī hai
tumheñ nahīñ mālūm
saañp Dasne se pahle kitnī der phan phailā.e khaḌā rahā
aur tum kahāñ ruke the
aur apne aage dīvār kī bulandī ke sāmne
tumheñ kuchh nahīñ mālūm
sirf ek baat ke sivā
ki har janm kā sirf ek hī dev-mālā.ī mausam hotā hai
janm ka pahla dew-malai mausam guzar gaya
aur tum ruk gae
aaKHiri qadam ke aage diwar ki inTen chunte chunte raat ho gai
to main ne socha
jaane zanjiron ka tul kaun se mausam se kaun se mausam tak hai
magar aage sirf la-mahdudiat hai ya phir diwar
jis ki inTon ka gara waqt ki miTTi se bana hai
tanhai ka pani aaKHiri qadam ke aage diwar ko mazbut kar deta hai
to achanak raat apna sar uThati hai
tumhein nahin malum
sanp Dasne se pahle kitni der phan phailae khaDa raha
aur tum kahan ruke the
aur apne aage diwar ki bulandi ke samne
tumhein kuchh nahin malum
sirf ek baat ke siwa
ki har janm ka sirf ek hi dew-malai mausam hota hai
- Book : Andekhi Lahren(rekhta website) (Pg. 34)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.