pahle sal ka tohfa
suno
tum ne mujhe takmīl kā ehsās baḳhshā hai
ki tum is jism meñ pahlī tamannā kā shagūfa ho
magar yuuñ hai
ki merī kokh meñ kilkāriyoñ kī karvaToñ se qabl
andeshe kī koñpal phuuT niklī hai
maiñ aksar sochtī thī ye akelā ghar kabhī ābād bhī hogā
maiñ us an-dekhe mehmāñ kī pazīrā.ī meñ kyā kyā ḳhvāb bhejūñgī
maiñ tāq-e-jāñ meñ kaise kaise gul-būTe sajā.ūñgī
maiñ us kī ek ik jumbish pe iz.hār-o-bayāñ ke sab darīche khol kar
sāvan ke bādal kī tarah
har rañg meñ pāgal havā ke saath har sū phail jā.ūñgī
maiñ ye bhī bhuul jā.ūñgī
ki us ik buuñd bhar rishte ke pīchhe umr bhar kī sañgsārī hī muqaddar hai
maiñ ye bhī bhuul jā.ūñgī
ki is hone kī lazzat aur zillat ne mujhe kyā kyā rulāyā hai
maiñ ye bhī bhuul jaanā chāhtī thī
ki maiñ kis jabr ke saa.e meñ pal kar
kaise andeshoñ kī chādar oḌh kar dahlīz utrī thī
ki maiñ ne ḳhud ko
bachpan aur javānī ke gunāhoñ kī hazāroñ lazzatoñ se
kis tarah mahrūm rakkhā hai
mirī jaañ maiñ ye sab kuchh bhuul jaanā chāhtī thī
maiñ terī nannhī nannhī uñgliyoñ kī koñpaloñ kā lams pā kar raqs kar uThtī
tirī kilkāriyoñ ko soch kar tanhā.ī meñ haule se muskātī
magar yuuñ hai ki mere chaar sū jo hashr barpā hai
bas ik ḳhāmosh mātam ek be-āvāz naala hai
maiñ āñkheñ mūñdnā chāhūñ to ye kilkāriyāñ
bhūke bilakte dard se behāl bachche kī karāhoñ meñ
badal jaatī haiñ pal bhar meñ
mirī muskān Dhal jaatī hai
tanhā dard kī maarī thakī haarī huī aurat kī aahoñ meñ
thakī haarī huī aurat ki jis kī sard bāñhoñ meñ
apāhij din sisaktā hai
musalsal ḳhāna-jañgī qahat-sālī bhuuk ġhurbat aur vabā.eñ
jis ke darvāze pe dastak de rahī haiñ
jihālat aur nafrat sarhadoñ kī pāsbānī kar rahī hai
jahāñ khetoñ meñ bas bārūd ugtā hai
saroñ par tāb-kārī dhuup kī chādar tanī hai
thakī haarī huī aurat jo malbe par khaḌī fariyād karte
ye kin ābādiyoñ ko yaad kartī hai
maiñ āñkheñ mūñdnā chāhūñ to ye manzar rulātā hai
mirī jaañ us ghaḌī tū jis bhī pahlū kasmasātā hai
mirā dil haul khātā hai
mire chāroñ taraf ik ḳhud-farāmoshī kā jañgal hai
ġhanīm āñkheñ jamā.e aur havā-e-shauq pāgal hai
suno
tum ne mujhe takmil ka ehsas baKHsha hai
ki tum is jism mein pahli tamanna ka shagufa ho
magar yun hai
ki meri kokh mein kilkariyon ki karwaTon se qabl
andeshe ki konpal phuT nikli hai
main aksar sochti thi ye akela ghar kabhi aabaad bhi hoga
main us an-dekhe mehman ki pazirai mein kya kya KHwab bhejungi
main taq-e-jaan mein kaise kaise gul-buTe sajaungi
main us ki ek ek jumbish pe izhaar-o-bayan ke sab dariche khol kar
sawan ke baadal ki tarah
har rang mein pagal hawa ke sath har su phail jaungi
main ye bhi bhul jaungi
ki us ek bund bhar rishte ke pichhe umr bhar ki sangsari hi muqaddar hai
main ye bhi bhul jaungi
ki is hone ki lazzat aur zillat ne mujhe kya kya rulaya hai
main ye bhi bhul jaana chahti thi
ki main kis jabr ke sae mein pal kar
kaise andeshon ki chadar oDh kar dahliz utri thi
ki main ne KHud ko
bachpan aur jawani ke gunahon ki hazaron lazzaton se
kis tarah mahrum rakkha hai
meri jaan main ye sab kuchh bhul jaana chahti thi
main teri nannhi nannhi ungliyon ki konpalon ka lams pa kar raqs kar uThti
teri kilkariyon ko soch kar tanhai mein haule se muskati
magar yun hai ki mere chaar su jo hashr barpa hai
bas ek KHamosh matam ek be-awaz nala hai
main aankhen mundna chahun to ye kilkariyan
bhuke bilakte dard se behaal bachche ki karahon mein
badal jati hain pal bhar mein
meri muskan Dhal jati hai
tanha dard ki mari thaki haari hui aurat ki aahon mein
thaki haari hui aurat ki jis ki sard banhon mein
apahij din sisakta hai
musalsal KHana-jangi qahat-sali bhuk ghurbat aur wabaen
jis ke darwaze pe dastak de rahi hain
jihaalat aur nafrat sarhadon ki pasbani kar rahi hai
jahan kheton mein bas barud ugta hai
saron par tab-kari dhup ki chadar tani hai
thaki haari hui aurat jo malbe par khaDi fariyaad karte
ye kin aabaadiyon ko yaad karti hai
main aankhen mundna chahun to ye manzar rulata hai
meri jaan us ghaDi tu jis bhi pahlu kasmasata hai
mera dil haul khata hai
mere chaaron taraf ek KHud-faramoshi ka jangal hai
ghanim aankhen jamae aur hawa-e-shauq pagal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.