pahli maut
raat bhar narm havāoñ ke jhoñke
vaqt kī mauj ravāñ par bahte
terī yādoñ ke safīne laa.e
ki jazīroñ se nikal kar aa.e
guzrā vaqt kā dāman thāme
tirī yādeñ tire ġham ke saa.e
ek ik harf-e-vafā kī ḳhushbū
mauja-e-gul meñ simaT kar aa.e
ek ik ahd-e-vafā kā manzar
ḳhvāb kī tarah guzarte bādal
terī qurbat ke mahakte hue pal
mere dāman se lipaTne aa.e
niiñd ke baar se bojhal āñkheñ
gard-e-ayyām se dhundlā.e hue
ek ik naqsh ko hairat se takeñ
lekin ab un se mujhe kyā lenā
mere kis kaam ke ye nazrāne
ek chhoḌī huī duniyā ke safīr
mere ġham-ḳhāne meñ phir kyuuñ aa.e
dard kā rishta rifāqat kī lagan
ruuh kī pyaas mohabbat ke chalan
maiñ ne muñh moḌ liyā hai sab se
maiñ ne duniyā ke taqāze samjhe
ab mere paas koī kyuuñ aa.e
raat bhar nauha-kunāñ yaad kī biphrī maujeñ
mere ḳhāmosh dar o baam se Takrātī haiñ
mere siine ke har ik zaḳhm ko sahlātī hai
mujhe ehsās kī us maut par sah de kar
sub.h ke saath nigūñ saar palaT jaatī hai
raat bhar narm hawaon ke jhonke
waqt ki mauj rawan par bahte
teri yaadon ke safine lae
ki jaziron se nikal kar aae
guzra waqt ka daman thame
teri yaaden tere gham ke sae
ek ek harf-e-wafa ki KHushbu
mauja-e-gul mein simaT kar aae
ek ek ahd-e-wafa ka manzar
KHwab ki tarah guzarte baadal
teri qurbat ke mahakte hue pal
mere daman se lipaTne aae
nind ke bar se bojhal aankhen
gard-e-ayyam se dhundlae hue
ek ek naqsh ko hairat se taken
lekin ab un se mujhe kya lena
mere kis kaam ke ye nazrane
ek chhoDi hui duniya ke safir
mere gham-KHane mein phir kyun aae
dard ka rishta rifaqat ki lagan
ruh ki pyas mohabbat ke chalan
main ne munh moD liya hai sab se
main ne duniya ke taqaze samjhe
ab mere pas koi kyun aae
raat bhar nauha-kunan yaad ki biphri maujen
mere KHamosh dar o baam se Takraati hain
mere sine ke har ek zaKHm ko sahlati hai
mujhe ehsas ki us maut par sah de kar
subh ke sath nigun sar palaT jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.