pahli nazm
devtā ke gun gaane vāloñ uḌtā sūraj kyā hai
uḌtā sūraj ek pahelī baḌī purānī
suunā ambar jis ko har din dohrātā hai
aprampār añdheroñ meñ vo an-jānī
maut kī jānib jaadū kī naav pe chaḌhā
duur bahut hī duur ko uḌtā jaatā hai
uḌtā sūraj kyā hai bhagto ek rupahlī
shaan hai chāñdī kā sho.ala hai
uThtī aur nikhartī khetī paktā phal hai
laal lahū meñ lahreñ letī garmāhaT hai
is baste sansār meñ chamkīlā din hai
uḌtā sūraj kyā hai ki do dhan hai
soz bharī yā jaltā hai ambar pe diyā
āsmānoñ aur zamīnoñ ke raajā kā
din aur din ke biich meñ aane vaale ThanDe
añdhiyāre meñ dil ko Dhāras dene vaalā
dhyān jo favvāre kī sūrat nuur bikhere
uḌtā sūraj kyā hai āñkho hai
baḌe gyānī chitrkār kī jāntā hai jo
apne kaam ke saare nuktoñ ko bātoñ ko
aur ambar par sāñjh savere khīñchtā hai vo
apne dil ke bījoñ kī rañg birañgī
jaltī aur dahaktī partoñ kī tasvīreñ
uḌtā sūraj kyā hai aag hai
jo sansār ke saare jiine vāloñ kī
rag rag aur reshe reshe meñ jaltī hai
dewta ke gun gane walon uDta suraj kya hai
uDta suraj ek paheli baDi purani
suna ambar jis ko har din dohraata hai
aprampar andheron mein wo an-jaani
maut ki jaanib jadu ki naw pe chaDha
dur bahut hi dur ko uDta jata hai
uDta suraj kya hai bhagto ek rupahli
shan hai chandi ka shoala hai
uThti aur nikharti kheti pakta phal hai
lal lahu mein lahren leti garmahaT hai
is baste sansar mein chamkila din hai
uDta suraj kya hai ki do dhan hai
soz bhari ya jalta hai ambar pe diya
aasmanon aur zaminon ke raja ka
din aur din ke bich mein aane wale ThanDe
andhiyare mein dil ko Dhaaras dene wala
dhyan jo fawware ki surat nur bikhere
uDta suraj kya hai aankho hai
baDe gyani chitrkar ki jaanta hai jo
apne kaam ke sare nukton ko baaton ko
aur ambar par sanjh sawere khinchta hai wo
apne dil ke bijon ki rang birangi
jalti aur dahakti parton ki taswiren
uDta suraj kya hai aag hai
jo sansar ke sare jine walon ki
rag rag aur reshe reshe mein jalti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.