pahli tariKH
dard kī sā.atoñ se ghabrā kar
filoñ se diloñ ko bahlā kar
kyā batā.eñ ki kis tarah ham ne
terī furqat meñ din guzāre haiñ
terī aamad hamāre chehre par
aaj ik tāzgī sī le aa.ī
lekin is aarzī masarrat ko
ḳhuub achchhī tarah samajhte haiñ
chand lamhoñ meñ ye na.e kāġhaz
ham se is tarah duur bhāgeñge
jis tarah chand qarz-dāroñ kī
pīchhā kartī huī nigāhoñ se
puure ik maah ham farār rahe
kal se phir ai sadā-bahār dulhan
raat din intizār meñ tere
koh-e-ġham se sar apnā phoḌeñge
tujh se rishta kabhī na toḌeñge
dard ki saaton se ghabra kar
filon se dilon ko bahla kar
kya bataen ki kis tarah hum ne
teri furqat mein din guzare hain
teri aamad hamare chehre par
aaj ek tazgi si le aai
lekin is aarzi masarrat ko
KHub achchhi tarah samajhte hain
chand lamhon mein ye nae kaghaz
hum se is tarah dur bhagenge
jis tarah chand qarz-daron ki
pichha karti hui nigahon se
pure ek mah hum farar rahe
kal se phir ai sada-bahaar dulhan
raat din intizar mein tere
koh-e-gham se sar apna phoDenge
tujh se rishta kabhi na toDenge
- Book : Khla Ki Dhund Men Ham Chal Rahe Hain (Pg. 58)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.