paigham-e-ashti
pechdār pahāḌoñ par
chaḌhte rāste
hāñpne lage
peshānī par
jhilmilāte ābdār
motī pochhe
nīche
vādiyoñ meñ dekhā
bādaloñ ke lahrāte āñchal
oḌhe
maḳhmūr
gungunātī
muskurātī
pahāḌoñ ke qadam chūmtī
vādiyoñ kī
āġhosh meñ machaltī
sabza-zāroñ se
aTkheliyāñ kartī
nashe meñ jhūmtī
ābshāroñ ko gale lagātī
paiġhām-e-āshtī detī
nasheb kī jānib
baḌhtī nadī
pechdar pahaDon par
chaDhte raste
hanpne lage
peshani par
jhilmilate aabdar
moti pochhe
niche
wadiyon mein dekha
baadalon ke lahraate aanchal
oDhe
maKHmur
gungunati
muskuraati
pahaDon ke qadam chumti
wadiyon ki
aaghosh mein machalti
sabza-zaron se
aTkheliyan karti
nashe mein jhumti
aabshaaron ko gale lagati
paigham-e-ashti deti
nasheb ki jaanib
baDhti nadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.