क्राइसिस
naddiyāñ mere qadmoñ ke nīche se bahtī chalī jā rahī haiñ
pahāḌ mere ghuTnoñ
aur daraḳht mere roñgToñ par rashk kar rahe haiñ
phailī huī zamīn par maiñ kitnā ūñchā ho gayā huuñ
chāñd mere māthe par hai
aur sūraj hāthoñ kā khilaunā hai
ḳhudā merī khopaḌī ke andar chamgādaḌ kī tarah phaḌphaḌā rahā hai
samundar merā paañv chuum rahe haiñ
aur tahzībeñ tez-o-tund havāoñ kī tarah sansanāhaT paidā kar rahī haiñ
ki maiñ zamīn ko haath meñ le kar is tarah uchhāl saktā huuñ
jaise bachche geñd uchhālā karte haiñ
hazāroñ baras se maiñ ne yahī ḳhvāb dekhā thā ki maiñ ḳhudā ho jaatā
ab mujhe ḳhudā rahnā bhī gavāra nahīñ
logoñ ne mere qadmoñ pe sar rakh diye haiñ
lekin merā sar jo ab ek baḌā sā bojh ban gayā hai
ise maiñ kahāñ rakkhūñ
jannat mere dāhne haath meñ hai
aur dozaḳh baa.eñ haath meñ
aur sar par nuur kā taaj hai
farishte mere chāroñ taraf haiñ
lekin ab maiñ kyā karūñ
mujhe to Dar lagtā hai ki
ab maiñ būḌhā ho gayā huuñ
naddiyan mere qadmon ke niche se bahti chali ja rahi hain
pahaD mere ghuTnon
aur daraKHt mere rongTon par rashk kar rahe hain
phaili hui zamin par main kitna uncha ho gaya hun
chand mere mathe par hai
aur suraj hathon ka khilauna hai
KHuda meri khopaDi ke andar chamgadaD ki tarah phaDphaDa raha hai
samundar mera panw chum rahe hain
aur tahziben tez-o-tund hawaon ki tarah sansanahaT paida kar rahi hain
ki main zamin ko hath mein le kar is tarah uchhaal sakta hun
jaise bachche gend uchhaala karte hain
hazaron baras se main ne yahi KHwab dekha tha ki main KHuda ho jata
ab mujhe KHuda rahna bhi gawara nahin
logon ne mere qadmon pe sar rakh diye hain
lekin mera sar jo ab ek baDa sa bojh ban gaya hai
ise main kahan rakkhun
jannat mere dahne hath mein hai
aur dozaKH baen hath mein
aur sar par nur ka taj hai
farishte mere chaaron taraf hain
lekin ab main kya karun
mujhe to Dar lagta hai ki
ab main buDha ho gaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.